Showing posts with label Actor - Shubha Khote. Show all posts
Showing posts with label Actor - Shubha Khote. Show all posts

Friday, July 2, 2010

Duniya banaane waale... pyaar ki aag mein...

While listening to the songs of film Ziddi, I discovered so many songs that I had missed out on watching the film years ago. This being one of them. It sounds and looks comedy, but has very deep feelings about a broken hearted person. Mannada gives voice to Mehmood once again to create this magical number. I still can't believe I missed this song.

At about 3:30 mins in the song, you hear the famous music that has been played in many many songs like nazare mili dil dhadaka, dole dole dil dole bole dil bole, and of course from Come September, and many more.


duniya banaane waale sun se meri kahaani
roye meri mohabbat
tapde (2) meri jawaani

pyaar ki aag mein tan badan jal gayaa (2)
jaane phir kyon jalaati hai duniya mujhe (2)
pyaar ki aag mein tan badan jal gayaa

main to rotaa phiru baadalon ki tarhaa
thandi aahen bharu paagalon ki tarhaa
main to rotaa phiru baadalon ki tarhaa
arre main to ho ho ho rotaa phiru
main to rotaa phiru baadalon ki tarhaa
thandi aahen bharu paagalon ki tarhaa
jaane phir kyon, phir kyon
jaane phir kyon rulaati hai duniya mujhe
pyaar ki aag mein tan badan jal gayaa (2)

baat jab main karoon mooh se nikle dhuaa
jal gayaa (2) mere dil kaa jahaan
baat jab main karoon mooh se nikle dhuaa (2)
arre jal gayaa
jal gayaa mere dil ka jahaan
jaane phir kyon, phir kyon
jaane phir kyon sataati hai duniya mujhe
pyaar ki aag mein tan badan jal gayaa (2)

ishq mujhko nachaataa rahaa hai sadaa
kyaa kyaa sapne dikhaata rahaa hai sadaa
ishq mujhko nachaataa rahaa hai sadaa (2)
kyaa kyaa sapne dikhaata rahaa hai sadaa
jaane phir kyon, phir kyon
jaane phir kyon nachaati hai duniya mujhe
pyaar ki aag mein tan badan jal gayaa (2)
tan badan jal gaya (2)


Film: Ziddi (1964)
Singer: Manna Dey
Music Director: S. D. Burman
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Picturized on: Mehmood, Shubha Khote & Others


Friday, April 30, 2010

Hum se aaya na gayaa...

This one is a favorite of Papu and I. We both adore this one as much as we love phir wohi shaam. I didn't know this one was a Madan Mohan creation until today...

Shubha Khote and Anoop Kumar look so cute together. Seems like the song is sung in a lighter mood than what the lyrics convey.


hum se aaya na gayaa tumse bhulaaya na gayaa (2)
faasla pyaar mein dono se mitaaya na gayaa
hum se aaya na gayaa tumse bhulaaya na gayaa
hum se aaya na gayaa

woh ghadi yaad hai jab tumse mulaaqaat hui (2)
ek ishaaraa huaa do haath badhe baat hui
dekhte dekhte din dhal gayaa aur raat hui
woh samaa aaj talak dil se bhulaaya na gayaa
hum se aaya na gayaa tumse bhulaaya na gayaa
hum se aaya na gayaa

kyaa khabar thi ki mile hai to bichhadne ke liye (2)
kismate apni banaayi hai bigadne ke liye (2)
pyaar ka baag lagaaya tha ujadane ke liye
is taraah ujadaa ke phir humse basaaya na gayaa
hum se aaya na gayaa tumse bhulaaya na gayaa
hum se aaya na gayaa

yaad reh jaati hai aur waqt guzar jaata hai (2)
phool khilta bhi hai aur khilke bikhar jaata hai
sab chale jaate hai tab dard-e-jigar reh jaata hai
daag jo toone diya dil se mitaaya na gayaa

hum se aaya na gayaa tumse bhulaaya na gayaa
faasla pyaar mein dono se mitaaya na gayaa
hum se aaya na gayaa tumse bhulaaya na gayaa
hum se aaya na gayaa


Film: Dekh Kabira Roya (1957)
Singer: Talat Mahmood
Music Director: Madan Mohan
Lyrics: Rajendra Krishan
Picturized on: Anoop Kumar, Shubha Khote



Saturday, February 20, 2010

Tum Mujhe Bhool Bhi Jaao....

Discovered this beauty while I was listening to some other song on youtube. Shubha Khote and Sunil Dutt make such a cute couple. Absolutely love the lyrics of the song along with fantastic music. Got to listen to Sudha Malhotra's work for the first time, I think. She's got quite a lovely voice. Will have to listen to more of her songs now.


F: tum mujhe bhool bhi jaao to yeh haq hai tum ko
meri baat aur hai maine to mohabbat kee hai
tum mujhe bhool bhi jaao to yeh haq hai tum ko

mere dil ki mere jazbaat ki keemat kyaa hai
uljhe uljhe se khayaalaat ki keemat kyaa hai
maine kyon pyaar kiyaa tumne na kyon pyaar kiya
in pareshaan sawaalaat ki keemat kyaa hai
tum jo yeh bhi na .... to yeh haq hai tum ko
meri baat aur hai maine to mohabbat kee hai
tum mujhe bhool bhi jaao to yeh haq hai tum ko

M: zindagi sirf mohabbat nahin kuchh aur bhi hai
zulf rukhsaar ki jannat nahin kuchh aur bhi hai
bhookh aur pyaas ki maari hui is duniya mein
ishq hi ek haqeeqat nahin kuchh aur bhi hai
tum agar aankh churaao to yeh haq hai tum ko
main tum se hi nahin sab se mohabbat kee hai
tum agar aankh churaao to yeh haq hai tum ko

F: tum ko duniya ke gham-o-dard se fursat na sahi
sab se ulfat sahi mujhse hi mohabbat na sahi
main tumhaari hoon yehi mere liya kya kam hai
tum mere ho ke raho yeh meri kismat na sahi
aur bhi dil ko jalaao to yeh haq hai tum ko
meri baat aur hai maine to mohabbat kee hai
tum mujhe bhool bhi jaao to yeh haq hai tum ko


Film: Didi (1959)
Singers: Sudha Malhotra, Mukesh
Music Director: Narayan Datta (a source on youtube says this was "tuned by Sudha Malhotra")
Lyrics: Sahir Ludhiyanvi
Picturized on: Shubha Khote, Sunil Dutt, Om Prakash

Friday, April 25, 2008

Main Tere Pyaar Ka Beemaar

Usually people either forward these songs or take a bathroom break during these songs, but I honestly love watching them and enjoy them. :D

Mannada does an awesome job and Mehmood's acting is priceless. It amazes me when song writers write the songs to match the movie situations, like this one. SJ music and the classical touch to the song make me want to listen to the song over and over again.


main tere pyaar ka beemaar hoon kya arz karoon (2)
tera aashiq hoon gunehgaar hoon kya arz karoon
main tere pyaar ka beemaar hoon kya arz karoon

mujhko pehchaan lo main hoon tera rasiya jogi (2)
apne jogi pe inaayat ki nazar kab hogi
tera banda hoon (4)
khatavar hoon kya arz karoon
main tere pyaar ka beemaar hoon kya arz karoon

le ek armaan meri jaan main aa pahoocha hoon (2)
teri khaatir to main japan bhi to aa pahooncha hoon
tera mitva hoon (4)
talabgaar hoon kya arz karoon
main tere pyaar ka beemaar hoon kya arz karoon

bin tere dil mera dooba hi chala jaata hai (2)
chahe badnaam sahi tera to kehlata hai
main to rusvaa (4)
are bazaar hoon kyaa arz karoon
main tere pyaar ka beemaar hoon kya arz karoon
tera aashiq hoon gunehgaar hoon kya arz karoon
main tere pyaar ka beemaar hoon kya arz karoon


Singer: Manna Dey
Music Director: Shankar Jaikishen
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Film: Love In Tokyo (1966)
Video: http://www.youtube.com/watch?v=yrNtFWXLNhY