Showing posts with label Actor - Prem Chopra. Show all posts
Showing posts with label Actor - Prem Chopra. Show all posts

Friday, July 12, 2013

Kasme waade pyaar wafaa..

Hearing the news about Pransahab's passing, I couldn't think of any better song than this to share. The naked truth and bitter reality of life. Mannada has sung is so beautifully. Especially the aalaap in the words that get repeated twice... so very emotional.

Thrilled for they awarded him with the Dadasaheb Phalke award in 2012. Rest in peace, dear Pransahab. Om Shanti.


kasme waade pyaar wafaa sab baatein hai baaton ka kya (2)
koyi kisi ka nahin yeh jhoothe naate hai naaton ka kya
kasme waade pyaar wafaa sab baatein hai baaton ka kya

hoga maseeha (2)
saamne tere phir bhi na tu bach paayega
tera apna (2)
khoon hi aakhir tujhko aag lagaayega
aasmaan ke (2)
udne wale mitti mein mil jaayega
kasme waade pyaar wafaa sab baatein hai baaton ka kya

sukh mein tere (2)
saath chalenge dukh mein sab mukh modenge
duniya wale (2)
tere ban kar tera hi dil todenge
dete hai (2)
bhagwaan ko dhokha insaan ko kya chhodenge
kasme waade pyaar wafaa sab baatein hai baaton ka kya
koyi kisi ka nahin yeh jhoothe naate hai naaton ka kya

kasme waade pyaar wafaa sab baatein hai baaton ka kya


Film: Upkaar (1967)
Singer: Manna Dey
Music Director: Kalayanji & Anandji
Lyrics: Indeevar
Picturized on: Pran, Manoj Kumar, Kamini Kaushal, Aruna Irani, Prem Chopra


Tuesday, January 26, 2010

Jahaan Daal Daal Par Sone Ki Chidiya...

Happy 60th Republic Day to my fellow Hindustani!

Long live Mother India!


M: gurur brahmaa gurur vishnu
gurur devo maheshwaraaha
gurur saakshaat parabrahmaa
tasmay shri guruve namaha

M: jahaan daal daal par sone ki chidiyaa karti hai baseraa
woh bhaarat desh hai meraa (2)

Ch: jahaan daal daal par sone ki chidiyaa karti hai baseraa
woh bhaarat desh hai meraa (2)

M: jahaan satya ahinsaa aur dharam kaa pug pug lagtaa deraa
woh bhaarat desh hai meraa (2)

Ch: jai bhaarati (4)
aa aa aa (2)

M: yeh dharati woh jahaan rishi muni
japate prabhu naam ki maalaa

Ch: hari om (4)

M: jahaan har baalak ek mohan hai
aur raadhaa har ek ek baalaa (2)
jahaan suraj sabse pehle aa kar daale apnaa pheraa
woh bhaarat desh hai meraa (2)

jahaan gangaa jamunaa krishnaa aur kaaveri behti jaaye
jahaan uttar dakshan poorab paschim ko amrit pilvaaye
ke amrit pilvaaye
kahin yeh do pal aur phool ugaaye khetar kahin bikhera
woh bhaarat desh hai meraa (2)

albelon ki is dharti ke tyohaar bhi hai albele
kahin deewaali ki jag-mag hai holi ke kahin mele (2)
holi ke kahin mele
jahaan raag rang aur hansi khushi kaa chaaro aur hai gheraa
woh bhaarat desh hai meraa (2)

Ch: jahaan daal daal par sone ki chidiyaa karti hai baseraa
woh bhaarat desh hai meraa (2)
aa aa.. aa aa aa...
aa aa aa (3)

jahaan aasmaan se baate karte mandir aur shivaalay
kisi nagar mein kisi dwaar par koyi na taalaa daale
koyi na taalaa daale
aur prem ki bansi jahaan bajaataa aaye shaam saveraa
woh bhaarat desh hai meraa (2)

M: jahaan satya ahinsaa aur dharam kaa pug pug lagtaa deraa
woh bhaarat desh hai meraa (2)

Ch: hey bhaarati
jai bhaarati (3)

M: aa aa aa aa aa aa aa aa aa...


Film: Sikandar-E-Aazam (1965)
Singer: Mohd. Rafi & Chorus
Music Director: Hansraj Behl
Lyrics: Rajendar Krishan
Picturized on: Prithviraj Kapoor, Prem Chopra, Premnath & Others