Showing posts with label Actor - Bhagyashree. Show all posts
Showing posts with label Actor - Bhagyashree. Show all posts

Tuesday, March 10, 2009

Mere Rang Mein...

(mere rang mein rangne waali
pari ho ya ho pariyon ki raani
ya ho meri prem kahaani
mere sawaalon ka jawaab do
do na) (2)

(chorus)

(bolo na kyon yeh chaand sitaare
takte hai yooh mukhade ko tumhaare) (2)
chhuke badan ko hawaa kyon mehki
raat bhi hai kyon behki behki
mere sawaalon ka jawaab do
do na

kyon ho tum sharmaayi hui si
lagti ho kuchh ghabaraayi hui si

ho kyon ho tum sharmaayi hui si
lagti ho kuchh ghabaraayi hui si

dhalka hua sa aanchal kyon hai
yeh mere dil mein hulchul kyon hai
mere sawaalon ka jawaab do
do na

dono taraf benaam si uljhan
jaise mile ho dulha-dulhan

aa ha ha ha ha

dono taraf benaam si uljhan
jaise mile ho dulha-dulhan

dono ki aisi haalat kyon hai
aakhir itni mohabbat kyon hai
mere sawaalon ka jawaab do
do na

mere rang mein rangne waali
pari ho ya ho pariyon ki raani
ya ho meri prem kahaani
mere sawaalon ka jawaab do


Film: Maine Pyaar Kiya (1989)
Singer: S. P. Balasubramaniam
Music Director: Raam Laxman
Lyrics: Asad Bhopali
Picturized on: Salman Khan, Bhagyashree


Thursday, May 29, 2008

Kahe Tohse Sajnaa...Pug Pug Liye Jaau

kahe tohse sajna
kahe tohse sajna yeh tohri sajaniyaan
pug pug liye jaau tohri balaiyaan main
pug pug liye jaau tohri balaiyaan
magan apni dhoon mein rahe more saiyaan
pug pug liye jaau tohri balaiyaan (2)

badariyaa si barsoon ghataa banke chhaau
badariyaa si barsoon
ho badariyaa si barsoon ghataa banke chhaau
jiyaa to yeh chaahe tohe ang lagaau
laaj nigodi mori roke hai paiyaan
pug pug liye jaau tohri balaiyaan main
pug pug liye jaau tohri balaiyaan

main jag ki koyi reet na jaanu
main jag ki koyi
ho main jag ki koyi reet na jaanu
maang ka tohe sindoor maanu
tu hi choodiyaan mori tu hi kalaiyaan
pug pug liye jaau tohri balaiyaan main
pug pug liye jaau tohri balaiyaan

mohe laage pyaare sabhi rang piya re
mohe laage pyaare
ho mohe laage pyaare sabhi rang piya re
dukh sukh mein har pal rahoon sang piya re
dardava ko baate umar larkaiyaan
ho pug pug liye jaau tohri balaiyaan

kahe tohse sajna yeh tohri sajaniya
pug pug liye jaau tohri balaiyaan main
pug pug liye jaau tohri balaiyaan (3)


Film: Maine Pyaar Kiya (1989)
Singer: Sharda Sinha
Music Director: Raam Laxman
Lyrics: Asad Bhopali
Video: http://www.youtube.com/watch?v=qNhzEs3DzUk
Picturized on: Salman Khan, Bhagyashree