Thursday, January 24, 2013

Suhaana safar aur yeh mausam haseen...

If it registers in your mind and you realize it and appreciate it. Say it or at least enjoy it while it lasts. Not many can do that.

Ch: aa aa aa..

M: suhaana safar aur yeh mausam haseen
hume dar hai hum kho na jaaye kahin
suhaana safar aur yeh mausam haseen

(yeh kaun hansta hai phoolon mein chhup kar
bahaar bechain hai kis ki dhun par) (2)
kahin gungun kahin runjhun ke jaise naache zameen
suhaana safar aur yeh mausam haseen
hume dar hai hum kho na jaaye kahin
suhaana safar aur yeh mausam haseen

(yeh gori nadiyon ka chalna uchhalkar
ke jaise alhad chale pee se mil kar) (2)
pyaare pyaare yeh nazaare nikhaar hai har kahin
suhaana safar aur yeh mausam haseen (2)
hume dar hai hum kho na jaaye kahin
suhaana safar aur yeh mausam haseen

oh ho ho (2)
ho..

woh aasmaan jhuk rahaa hai zameen par (2)
yeh milan humne dekha yahin par

woh aasmaan jhuk rahaa hai zameen par
yeh milan humne dekha yahin par
meri duniya mere sapne milenge shaayad yahin
suhaana safar aur yeh mausam haseen (2)
hume dar hai hum kho na jaaye kahin
suhaana safar aur yeh mausam haseen

Film: Madhumathi (1958)
Singer: Mukesh
Music Director: Salil Choudhary
Lyrics: Shailendra
Picturised on: Dilip Kumar


No comments: