Another abhinay based song with meaningful lyrics. A bit sad song but how full of emotions and expressions is this one... simply amazing! Love Waheeda Rehman so much along with Hemantda's music.
aye mohabbat meri duniya mein tera kaam na tha
aye mohabbat meri
tu na aayi thi to gham ka bhi kahin naam na tha
aye mohabbat meri duniya mein tera kaam na tha
aye mohabbat meri
jaane kyon aaj hai shikva mujhe duniya bhar se (2)
isse pehle to kisi par koi ilzaam na tha
aye mohabbat meri duniya mein tera kaam na tha
aye mohabbat meri
meri kismat ke mujhe ashq hi peene ko mile (2)
mere hisse mein mohabbat ka koi jaam na tha
aye mohabbat meri duniya mein tera kaam na tha
aye mohabbat meri
denewaale mujhe kyon toone mohabbat de di (2)
kya gham-e-ishq se pehle mujhe aaraam na tha
aye mohabbat meri duniya mein tera kaam na tha
aye mohabbat meri
Film: Bees Saal Baad (1962)
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: Hemant Kumar
Lyrics: Kaifi Azmi, Shakeel Badayuni
Picturized on: Waheeda Rehman, Biswajeet, Manmohan Krishna
No comments:
Post a Comment