OMG! I just discovered the magic of Noor Jahan. I have to admit that all the times when Priya went gaga over this legend's voice, I never understood it. Even when I said I liked her songs, I didn't really actually listen to her magic, until today when I listened to "chaandni raaten" and this song, it completely blew me away. The way she sings and her adaa, smile, and grace are truly outstanding. The music is quite beautiful to add to this gem. it's amazing how she sings same line completely differently each time. I am in love with Noor Jahan's voice!!
(humaari saanson mein aaj tak woh
henna ki khushbu mehek rahi hai) (2)
labon pe naghme machal rahe (2) (my! what buland aawaaz this lady has!)
nazar se masti chhalak rahi hai
humaari saanson mein aaj tak woh
henna ki khushbu mehek rahi hai (what out of the world music plays here!)
(woh mere nazdeek mein aate aate
hayaa se ek din simat gaye the) (2)
(mere khayaalon mein aaj tak woh
badan ki daali lachak rahi hai) (2)
humaari saanson mein aaj tak woh
henna ki khushbu mehek rahi hai
(sadaa jo dil se nikal rahi hai
woh sher-o-naghmon mein dhal rahi hai) (2)
(yeh dil ke aangan mein jaise koyi
ghazal ki jhanjhar jhanak? rahi rahi) (2)
humaari saanson mein aaj tak woh
henna ki khushbu mehek rahi hai
(absolutely love the music here)
(tadap mere beqaraar dil ki
kabhi to un mein asar karegi) (2)
(kabhi to woh bhi jalenge is mein
jo aag dil mein dahek rahi hai) (2)
humaari saanson mein aaj tak woh
henna ki khushbu mehek rahi hai
labon pe naghme machal rahe
nazar se masti chhalak rahi hai
humaari saanson mein aaj tak woh
henna ki khushbu mehek rahi hai
Singer: Noor Jahan
No comments:
Post a Comment