Tuesday, August 28, 2007

Mere Mehboob Tujhe Meri Mohabbat Ki Kasam

After listening to yaad mein teri on Nova's blog, I couldn't stop myself from going back to my all-time-favorite and the title song of Mere Mehboob. It was amazing to watch it yet again and enjoy the velvety voice of Mohd. Rafi. I really like the songs where the actor/actress stands on stage with microphone in front and sings in front of the audience. The effect such song has is amazing.. it just feels like everyone is there for only one purpose and that is to listen to the song, even when we are watching it on TV.

In this one, you can see the acting of the actors is so powerful. The expressions on their faces and the emotions their eyes convey are beautiful. Specially instances where Sadhana turns and bows her head during the "maine ek baar teri ek jhalak..." or the tears in both of their eyes at the time of "teri furqat ne pareshaan kiya hai mujhko..." and then later Sadhana wiping her tears. And the pin-drop silence in this big hall full of audience just adds to the seriousness of the romantic song. You can feel every bit of pain that is felt by RK. Rafi has poured his soul in this amazing extra-long-six-stanza song.


mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam (2)
phir mujhe nargisi aankhon ka sahaara de de
meraa khoyaa huaa rangeen nazaaraa de de
mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam

aye mere khwaab ki taabir meri jaan-e-ghazal
zindagi meri tujhe yaad kiye jaati hai
raat din mujhko sataataa hai tassavur teraa
dil ki dhadkan tujhe aawaaz diye jaati hai
aa mujhe apni sadaaon kaa sahaaraa de de
mera khoyaa huaa rangeen nazaaraa de de
mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam

bhool sakti nahin aankhen woh suhaanaa manzar
jab teraa husn mere ishq se takraayaa thaa
aur phir raah mein bikhare the hazaaron naghme
main woh naghme teri aawaaz ko de aayaa thaa
shaz-e-dil ko unn hi geeton ka sahaara de de
mera khoyaa huaa rangeen nazaaraa de de
mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam

yaad hai mujhko meri umra ki pehli woh ghadi
teri aankhon se koi jaam piyaa thaa maine
meri rug-rug mein koyi barq si lehraayi thi
jab tere marmari haathon ko chhuaa thaa maine
aa mujhe phir unn hi haathon kaa sahaaraa de de
mera khoyaa huaa rangeen nazaaraa de de
mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam

maine ek baar teri ek jhalak dekhi hai
meri hasrat hai ke mein phir teraa deedaar karoon
tere saaye ko samajh kar mein haseen taaj mahal
chandni raat mein nazaron se tujhe pyaar karoon
apni mehki hui zulfon kaa sahaaraa de de
mera khoyaa huaa rangeen nazaaraa de de
mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam

dhoondtaa hoon tujhe har raah mein har mehfil mein
thak gaye hai meri majboor tamannaa ki kadam
aaj kaa din meri ummeed ki hai aakhari din
kal naa jaane main kahaan aur kahaan tu ho sanam
do ghadi apni nigahon ka sahaaraa de de
mera khoyaa huaa rangeen nazaaraa de de
mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam

saamne aa ke zaraa pardaa uthaa de rukh se
ek yahi meraa ilaaj-e-gham-e-tanhaayi hai
teri furqat ne pareshaan kiyaa hai mujhko
ab to mil jaa ke meri jaan pe ban aayi hai
dil ko bhooli hui yaadon ka sahaara de de
mera khoyaa huaa rangeen nazaaraa de de
mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam
mere mehboob tujhe...

Movie: Mere Mehboob (1963)
Music Director: Naushad
Singer: Mohd. Rafi
Lyrics: Shakeel Badayuni

3 comments:

Nova said...

I absolutely loveeeeeeeeee this song!!!

The lyrics are mindblowing :)

AmiDA said...

my all time favorite too :)
magic is in the lyrics + melody :)

Kanan said...

Neha, can't agree with you more.

Ami, very well said.

Thanks girls! :)