Friday, June 1, 2007

Jab Chali Thandi Hawaa

What a combo - Asha sings for Asha! simply beautiful. This movie had very few songs that had happy tunes but all songs were gems. This one my favorite!

(jab chali thandi hawaa jab uthi kaali ghataa
mujhko aye jaan-e-wafaa tum yaad aaye) (2)

zindagi ki daastaan chaahe kitni ho haseen
bin tumhaare kuch nahin (2)
kyaa mazaa aata sanam aaj bhule se kahin
tum bhi aa jaate yahin (2)
yeh bahaaren yeh fizaa dekh kar o dilrubaa
jaane kyaa dil ko hua tum yaar aaye
jab chali thandi hawaa jab uthi kaali ghataa
mujhko aye jaan-e-wafaa tum yaad aaye

yeh nazaaren yeh samaa aur phir itne jawaan
haaye re yeh mastiyaan (2)
aisa lagta hai mujhe jaise tum nazdeek ho
iss chaman se jaan-e-jaan (2)
sun ke issi ki sadaa dil dhadakta hai meraa
aaj pehle se sivaa tum yaad aaye
jab chali thandi hawaa jab uthi kaali ghataa
mujhko aye jaan-e-wafaa tum yaad aaye


Movie: Do Badan (1966)
Music Director: Ravi
Singer: Asha Bhosle
Lyrics: Shakeel Badayuni

Tuesday, May 15, 2007

Kayi Din Se Jee Hai Bekal

This is a cute number from film Dulhan Ek Raat Ki. Sounds very pleasant to ears and reminds me of some other song but I can't remember which one. It's probably based on some raaga that's why it sounds familiar. Madan Mohan's music and Lata sings, what can I say! magical combo it is.


(kayi din se jee hai bekal
aye dil ki lagan ab le chal
mujhe bhi wahaan
mere piyaa hai jahaan (2)) (2)

bichhadi nazar nazar se to bechain ho gayi (2)
aise lagaa ke jaise koyi cheez kho gayi
ab unnke binaa hoon aaise
jaise nainaa bin kaajal
kayi din se jee hai bekal
aye dil ki lagan ab le chal
mujhe bhi wahaan
mere piyaa hai jahaan (2)

aayi jo unn ki yaad to saansen mehak gayi (2)
aankhon mein bijaliyaan si hazaaron chamak gayi
jiss aor uthi ye nazaren
laharaaye pyaar ke baadal
kayi din se jee hai bekal
aye dil ki lagan ab le chal
mujhe bhi wahaan
mere piyaa hai jahaan (2)

aati hain unn ke pyaar ki maujen machal machal (2)
kab tak kahungi dil se main apne sambhal sambhal
jaa des piyaa ke udd jaa aye mann ke panchhi ghaayal
kayi din se jee hai bekal
aye dil ki lagan ab le chal
mujhe bhi wahaan
mere piyaa hai jahaan (2)

kayi din se jee hai bekal
aye dil ki lagan ab le chal
mujhe bhi wahaan
mere piyaa hai jahaan (2)

Movie: Dulhan Ek Raat Ki (1966)
Music Director : Madan Mohan
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics : Raja Mehdi Ali Khan
Picturized on: Nutan Behl, Rehman, Dharmendra
MIO Link: http://www.musicindiaonline.com/p/x/zJymDCrfbt.As1NMvHdW/

Thursday, May 10, 2007

Lat Uljhi Suljha Ja Re Baalam

I wasn't a fan of Noor Jehan and never really cared for her songs until I heard this brilliant track. It's so beautiful I instantly became a fan of her songs. I can't believe I missed out on such a beautiful voice for such a long time. Lyrics are so cute and music reminds me of Indian folk songs. I'm listening to more of Noor Jehan songs now and am able to appreciate her singing talent.


lat uljhi suljhaa jaa re baalam (2)
main naa lagaaungi haath re

lat uljhi suljhaa jaa re baalam
main naa lagaaungi haath re
chaand se mujhde ko naagan zulfen (2)
chaahe dase saari raat re
lat uljhi suljhaa jaa re baalam

pehle hum ko chhed rahi thi jhulmi hawaa mastaani (2)
mann ki batiyaan likhne baithi (2)
jal gayi yeh deewaani
bairan lat kya toD sakegi (2)
teraa meraa saath re
lat uljhi suljhaa jaa re baalam (2)
main naa lagaaungi haath re
lat uljhi suljhaa jaa re baalam

aaj yeh mere mann ko jalaaye meri ek naa maane (2)
kal yeh tere bas mein hongi (2)
baawri yeh naa jaane re
iss natkhat ko sau bal denaa (2)
aaye jo tere haath re
lat uljhi suljhaa jaa re baalam (2)
main naa lagaaungi haath re
chaand se mujhde ko naagan zulfen (2)
chaahe dase saari raat re (4)


Album: Legends - Love Ghazals
Music Director: Rashid Attre
Singers: Noor Jehan
Lyricist: Fiyyaz Hashmi
Picturized on: Sahiba Khanum
MIO Link: http://www.musicindiaonline.com/p/x/j4vpX_tyWS.As1NMvHdW/

Saturday, May 5, 2007

Tum Ko Hamaari Umar Lag Jaaye

(tumhe aur kyaa doon main dil ke sivaay
tum ko hamaari umar lag jaaye (2)) (2)

muraade ho puri sajhe har tamannaa
mohabbat ki duniyaa ke tum chaand ban naa
bahaaron ki manzil se hansnaa hasaanaa
khushi mein hamaari bhi aawaaz sun naa
kabhi zindagi mein koi gham naa aaye
tum ko hamaari umar lag jaaye (2)

tumhe aur kyaa doon main dil ke sivaay
tum ko hamaari umar lag jaaye (2)

mujhe to khushi hai tumhe kyaa bataau
bhalaa dil ki dhadkan ko kaise chhipaau
kahin ho naa jaau khushi se main paagal
tumhe dekh kar aur bhi muskuraau
khudaa dil-jalo ki nazar se bachaaye
tum ko hamaari umar lag jaaye (2)

tumhe aur kyaa doon main dil ke sivaay
tum ko hamaari umar lag jaaye (2)

sitaaron se uncha ho rusva tumhara
bano tum har ek zindagi ka sahara
tumhe jis se ulfat ho mil jaaye tum ko
samajh lo hamari dua ka ishaara
muqaddar tumhara sadaa jagmagaaye
tum ko hamari umar lag jaaye (2)

tumhe aur kyaa doon main dil ke sivaay
tum ko hamaari umar lag jaaye (2)

Movie: Aayi Milan Ki Bela (1964)
Music Director: Shankar-Jaikishan
Singers: Lata Mangeshkar
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Picturized on: Saira Banu, Rajendra Kumar, Dharmendra
MIO Link: http://www.musicindiaonline.com/p/x/NqOm1CNwat.As1NMvHdW/

Saturday, April 28, 2007

Woh Hum Naa The

I adore this one. Rafi has done great justice to Neeraj's pensive words. The shehnayi plays so beautifully in background adding to the melancholy of the entire song. It gives you goosebumps. Too bad MusicIndiaOnline doesn't have audio of this track for us.

woh hum naa the woh tum naa the (2)
woh reh-guzar thi pyaar ki
looti jahaan pe bevajah paalaki bahaar ki
paalaki bahaar ki
woh hum naa the woh tum naa the

yeh khel thaa naseeb kaa (2)
naa hans sake naa ro sake
naa door tak pahuch sake
naa daar par hi soke
kahaani kisse yeh kahe (2)
chadhaao ki utaar ki
looti jahaan pe bevajah paalaki bahaar ki
paalaki bahaar ki
woh hum naa the woh tum naa the

tumhi the mere rehnawaa
tumhi the mere humsafar
tumhi the meri roshni
tumhi ne mujh ko di nazar
di nazar
binaa tumhaare zindagi (2)
shamaa hai ek mazaar ki
looti jahaan pe bevajah paalaki bahaar ki
paalaki bahaar ki
woh hum naa the woh tum naa the

yeh kaun saa mukaam hai (2)
palak nahin zameen nahin
ke shab nahi sehr nahin
ke gham nahi khushi nahin
kahaan ye leke aa gayi (2)
hawaa tere dayaar ki
looti jahaan pe bevajah paalaki bahaar ki
paalaki bahaar ki
woh hum naa the woh tum naa the

guzar rahi hai tum pe kyaa
banaa ke hum ko darbadar
yeh soch kar udaas hoon
yeh soch kar hai chashm kar
chashm kar
naa chot hai yeh phool ki (2)
naa hai khalish yeh khaar ki
looti jahaan pe bevajah paalaki bahaar ki
paalaki bahar ki (3)


Film: Cha Cha Cha (1964)
Music Director: Iqbal Qureshi
Singers: Mohd Rafi
Lyrics: Neeraj
Picturized on: Chandrashekhar, Helen