jiyo to aise jiyo jaise sab tumhaaraa hai (2)
maro to ause ke jaise tumhaaraa kuchh bhi nahin
jiyo to aise jiyo jaise sab tumhaaraa hai
jiyo to aise jiyo
yeh ek raaz ke duniya na jis ko jaan saki
yehi woh raaz hai jo zindagi ka haansil hai
tumhi kaho tumhe yeh baat kaise samjhaau
ke zindagi ki ghutan zindagi ki qaatil hai (2)
har ek nigaah ko kudrat kaa ek ishaaraa hai
jiyo to aise jiyo jaise sab tumhaaraa hai
jiyo to aise jiyo
jahaan mein aa ke jahaan se khiche khiche na raho
woh zindagi hi nahin jis mein aas bujh jaaye
koi bhi pyaas dabaaye se dab nahin sakti
isi se chain milegaa ke pyaas bujh jaaye (2)
yeh keh ke mudtaa huaa zindagi kaa dhaaraa hai
jiyo to aise jiyo jaise sab tumhaaraa hai
jiyo to aise jiyo
yeh aasmaan yeh zameen yeh fizaa yeh nazaare (2)
taras rahe hai tumhaari meri nazar ke liye
nazar churaa ke har ek shay ko yoon naa thukraao
koi shariq-e-safar dhoondh lo safar ke liye (2)
bahot kareeb se maine tumhe pukaaraa hai (2)
jiyo to aise jiyo jaise sab tumhaaraa hai
maro to ause ke jaise tumhaaraa kuchh bhi nahin
jiyo to aise jiyo jaise sab tumhaaraa hai
jiyo to aise jiyo
Film: Bahu Beti (1965)
Music Director: Ravi
Singer: Mohammad Rafi
Lyrics: Sahir Ludhianvi
Picturized on: Joy Mukherjee, Mala Sinha
Raag: Kalyan
No comments:
Post a Comment