Tuesday, June 17, 2008

Likhe Jo Khat Tujhe

When it comes to Mohd. Rafi songs, I just can't get enough. And if it is a Shashi Kapoor song, then it just doesn't get any better. This one of my favorite songs. What a romantic song!


(likhe jo khat tujhe woh teri yaad mein
hazaaron rang ke nazaare ban gaye) (2)

saveraa jab huaa to phool ban gaye
jo raat aayi to sitaare ban gaye
likhe jo khat tujhe

koi naghmaa kahin goonjaa kahaa dil ne yeh tu aayi
kahin chatki kali koi main yeh samjhaa tu sharmaayi
koi khushboo kahin bikhari lagaa yeh zulf lehraayi
likhe jo khat tujhe woh teri yaad mein
hazaaron rang ke nazaare ban gaye
saveraa jab huaa to phool ban gaye
jo raat aayi to sitaare ban gaye
likhe jo khat tujhe

fizaa rangeen adaa rangeen yeh ithalaanaa yeh sharmaanaa
yeh angdaayi yeh tanhaayi yeh tarsaa kar chale jaanaa
banaa degaa nahin kis ko jawaan jaadoo yeh deewaanaa
likhe jo khat tujhe woh teri yaad mein
hazaaron rang ke nazaare ban gaye
saveraa jab huaa to phool ban gaye
jo raat aayi to sitaare ban gaye
likhe jo khat tujhe

jahaan tu hai wahaan main hoon mere dil ki tu dhadkan hai
musaafir main tu manzil hai main pyaasaa hoon tu saawan hai
meri duniyaa yeh nazaren hai meri jannat yeh daaman hai
likhe jo khat tujhe woh teri yaad mein
hazaaron rang ke nazaare ban gaye
saveraa jab huaa to phool ban gaye
jo raat aayi to sitaare ban gaye
likhe jo khat tujhe


Film: Kanyadaan (1968)
Singer: Mohammad Rafi
Music Director: Shankar Jaikishan
Lyrics: Neeraj
Picturized on: Shashi Kapoor & Asha Parekh

Video:


Better quality audio

2 comments:

Beth Loves Bollywood said...

"And if it is a Shashi Kapoor song, then it just doesn't get any better."

Couldn't agree more!

cheers
http://bethlovesbollywood.blogspot.com

Kanan said...

Absolutely, Beth!

Wow! you have got a fantastic blog yourself. I think I am going to blogroll you now. Keep up the good work. Thanks for your comment. :)