Thursday, June 26, 2008

Tum To Pyaar Ho

Heard this one only yesterday for the first time. What a beautiful duet!

Thanks to google I was able to find what raag the song is based on.

F: aa aa aa
aa aa aa aa
tum to
tum to pyaar ho sajnaa
tum to pyaar ho
mujhe tum se pyaaraa aur naa koi
tum to pyaar ho sajnaa

M: tum to pyaar ho sajni
tum to pyaar ho
mujhe tum se pyaaraa aur naa koi
tum to pyaar ho

(chorus)

F: aa aa aa aa
kitna hai pyaar hum se itna bataa do

(chorus)

M: ambar pe taare jitne itna samajh lo
F: sach? meri kasam?
M: teri kasam teri yaad mujhe loote
F: kasame to khaanewaale hote hai jhoothhe
chalo jaao hato jaao dil kaa daaman chhodo
M: tum to pyaar ho sajni
tum to pyaar ho
mujhe tum se pyaaraa aur naa koi
tum to pyaar ho

(chorus)

M: o ho ho ho ho ho
aa ke naa jaaye kabhi aisi bahaar ho
F: tum bhi humaare liye jeevan singaar ho
M: sach? meri kasam?
F: teri kasam tu hai tu aankh ke til me
M: tum bhi chhoopi ho mere shishaa-e-dil mein
o mere humdum
mere humdum
meri baat to maano
F: tum to pyaar ho sajnaa
tum to pyaar ho
mujhe tum se pyaaraa aur naa koi
M: tum to pyaar ho sajni
F: tum to pyaar ho sajnaa
M: o sajni
Both: tum to pyaar ho


Film: Sehra (1963)
Singer(s): Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Music Director: Ramlal
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Picturized on: Sandhya, Prashant
Raag: Maru Bihag

No comments: