Thursday, May 26, 2011

Bekhudi mein sanam...

And I'm back to my favorite decade, the 60s!! I have to admit that I love this one more for music and Shashi Kapoor and the singers' voices than the rest of the talent, if that's what we want to call it. ;) This KA music is the kind that makes the tiny hairs on the entire body stand up, specially the violins and the tabla that go off as soon as Rafi sahab starts singing in the beginning and piercing voice of Lata ji and how Papu would say, that "aashaadhi" (આષાઢી) voice of Rafi sahab! And in all that I didn't even realize that our heroine came and went in a turquoise-colored Santa outfit. I mean who gets time to look at that while that delicious looking Shashi Kapoor is around. This one is one of my favorites of him.

F: bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam
aa gaye ey ey aa gaye
aa gaye paas hum (2)

(Introducing the turquoise Santa!) ;)

M: bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam (2)
aa gaye ey ey ey aa gaye
aa gaye paas hum (2)

F: ho ho ho bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam
aa gaye ey ey ey aa gaye
aa gaye paas hum (2)

M: bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam

F: aag yeh kaisi man mein lagi hai
man se badhi to tan mein lagi hai
M: aag nahin yeh dil ki lagi hai
jitni bujhaayi utni jali hai
F: dil ki lagi na ho to kya zindagi hai
saath hum jo chale mit gaye faasle
M: aa gaye ey ey aa gaye
aa gaye paas hum (2)
Both: bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam

M: khoyi nazar thi soye nazaare
dekha tumhe to jaage yeh saare
F: dil ne kiye jo dil ko ishaare
mil ke chale hum saath tumhaare
M: aaj khushi se mera dil yeh pukaare
tera daaman mila pyaar mera khila
F: aa gaye ey ey aa gaye
aa gaye paas hum (2)
Both: bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam

F:dil ki kahaani pahoochi zubaan tak
kis ko khabar ab pahoche kahaan tak
M:pyaar ke raahi aaye yahaan tak
jaayenge dil ki had hai jahaan tak
F:tum saath do to chale hum aasmaan tak
dil mein armaan liye laakh toofaan liye

Both: aa gaye ey ey aa gaye
aa gaye paas hum (2)
bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam (2)

Film: Haseena Maan Jaayegi (1968)
Singers: Lata Mangeshkar & Mohammed Rafi
Music Director: Kalyanji Anandji
Lyrics: Akhtar Romani
Picturized on: Shashi Kapoor, Babita