Monday, March 29, 2010

Muskuraa ke dekh... zaraa...

It was Shaan's voice that made me pay attention to this song more than anything.. and because it was too long and didn't finish quickly, I actually got to hear/listen to more of it while I turned the radio on in the morning. And I hate to admit it but I do like it. Listening to it third time makes me appreciate even the lyrics now...

Watching the video reminds me of kabhi kabhi aditi... song quite a lot. Looks like a brand new movie so no idea of the actors, but do give it a listen.


muskuraa ke dekh, zaraa muskuraa ke dekh, haaye muskuraa ke dekh zaraa
muskuraaye raat ke baad hi subaah
muskuraaye kaanton mein phool manchalaa
mushkilen to mehmaan hai, mushkilen to aasaan hai
shart bas itni hai, unpe tu muskaaye
muskuraa ke dekh, zaraa muskuraa ke dekh, muskuraa ke dekh zaraa

toota ik taara, khaali kahaan hai aasmaan
laakhon ho armaan, hasta rahe jo dil sadaa
hans hans ke yaaraa (2)
gham ko zaraa tu rulaa ke dekh
muskuraa ke dekh, zaraa muskuraa ke dekh, haaye muskuraa ke dekh zaraa

haste honthon pe roti aankhen khoob hai
gham hi khushi ka sach poochho to mehboob hai
daaman khushi ka (2)
us mein tu gham ko sajaa ke dekh
muskuraa ke dekh, zaraa muskuraa ke dekh, muskuraa ke dekh zaraa

jaage hai chandaa aur khwaabon mein khoya jahaan
jalke suraj bhi roshan kare saara jahaan
tu unke jaisaa (2)
in raaton mein jag-magaake dekh
muskuraa ke dekh, zaraa muskuraa ke dekh, muskuraa ke dekh zaraa

roke kismat pe tu aise hi na baithna
khaayi hai thokar kyon dil ne bhi yeh sochnaa
dil ko lagaa par hooo dil ko lagaa par
duniya ko bhi aazmaa ke dekh
muskuraa ke dekh, zaraa muskuraa ke dekh, haaye muskuraa ke dekh zaraa

muskuraaye raat ke baad hi subaah
muskuraaye kaanton mein phool manchalaa
mushkilen to mehmaan hai, mushkilen to aasaan hai
shart bas itni hai, unpe tu muskaaye
muskuraa ke dekh, zaraa muskuraa ke dekh, haaye muskuraa ke dekh zaraa, zaraa, zaraa...


Film: Muskurake Dekh Zara (2010)
Singer: Shaan
Music Director: Ranjit Barot
Lyrics: Mehboob
Picturized on: ?


Video:


Audio:

Friday, March 19, 2010

Bedardi baalma tujhko...

Been listening to songs that fall under "Lata sings for Sadhana" category. This one is my favorite for it's music and lyrics and well, everything. Hasrat Jaipuri is the man! What marvelous stuff he has written... my God! it's mind-blowing!


aa aa aa...
bedardi baalma tujhko mera man yaad kartaa hai (2)
barastaa hai jo aankhon se woh saawan yaad kartaa hai
bedardi baalma tujhko mera man yaad kartaa hai

kabhi hum saath guzare jin sajili rehguzaaro se
fizaa ke bhes mein girte hai ab patte chanaaro se
yeh raahen yaad karti hai yeh gulshan yaad karta hai
bedardi baalma tujhko mera man yaad kartaa hai
barastaa hai jo aankhon se woh saawan yaad kartaa hai
bedardi baalma tujhko mera man yaad kartaa hai

koyi jhonkha hawaa ka jab meraa aanchal udaata hai
gumaan hotaa hai jaise tu mera daaman hilaata hai
kabhi chooma tha jo toone woh daaman yaad karta hai
bedardi baalma tujhko mera man yaad kartaa hai
barastaa hai jo aankhon se woh saawan yaad kartaa hai
bedardi baalma tujhko mera man yaad kartaa hai

(what fantastic haunting music plays here!!)

wohi hai jheel ke mandar woh hi kirno ki barsaate
jahaan hum tum kiya karte the pehro pyaar ki baatein
tujhe is jheel ka khaamosh darpan yaad kartaa hai
bedardi baalma tujhko mera man yaad kartaa hai
barastaa hai jo aankhon se woh saawan yaad kartaa hai
bedardi baalma tujhko mera man yaad kartaa hai


Film: Arzoo (1965)
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Music Directors: Shankar Jaikishan
Picturized on: Sadhana, Rajendra kumar


Thursday, March 18, 2010

Tumhaare bin guzaare hai

Discovered this beautiful duet while I was listening to some oldies. This song is definitely based on a raag but I don't know which one. I'll have to look up my music notes for that but until then, I'm hooked to this one. What a lovely song... absolutely love the playfulness in it and the voices of the singers. The song makes me want to watch the movie. Never heard of it until today. Shankar Jaikishan's music is entirely lovely. I like Vidya Sinha in this one.


F: tumhaare bin guzaare hai kayi din ab na guzrenge (2)
jo dil mein aa gayi hai aaj hum woh kar hi guzrenge
M: khabar kyaa thi ke apne bhi sitaare aise bigadenge (2)
ke jo pooja ke kaabil hai wohi yoon rang badlenge
F: tumhaare bin guzaare hai kayi din ab na guzrenge

kayi din bad phir yeh saaz yeh singaar paaya hai
nahin maloom tha ke aap yoon inkaar kar denge
M: tumhe kaise bataaye kya humaare saath guzari hai
tumhaare khwaab tootenge agar sach baat keh denge
F: tumhaare bin guzaare hai kayi din ab na guzrenge
jo dil mein aa gayi hai aaj hum woh kar hi guzrenge
tumhaare bin guzaare hai kayi din ab na guzrenge

tumhaari ek na maanenge karenge aaj man-maani
bahut tarsaaya hai tumne nahin ab aur tarsenge
M: sataaya to nahin karte kabhi kismat ke maaro ko
kisi ki jaan jaayegi kisi ke armaan nikalenge
F: tumhaare bin guzaare hai kayi din ab na guzrenge
jo dil mein aa gayi hai aaj hum woh kar hi guzrenge
tumhaare bin guzaare hai kayi din ab na guzrenge
aa aa aa.. aa aa.. aa aa aa aa...

manaaya tum ko kitni baar lekin tum nahin maane
to ab majboor ho kar hum sharaarat par bhi utrenge
M: haqiqat kyaa hai yeh pehle bataa dete to acchha thaa
khud apne jaal se hi hum na jaane kaise niklenge
F: tumhaare bin guzaare hai kayi din ab na guzrenge
jo dil mein aa gayi hai aaj hum woh kar hi guzrenge
tumhaare bin guzaare hai kayi din ab na guzrenge


Film: Atmaram (1979)
Singers: Mohd. Rafi, Lata Mangeshkar
Music Director: Shankar Jaikishan
Lyrics: Vishveshwar Sharma
Picturized on: Shatrughan Sinha, Vidya Sinha


Sunday, March 14, 2010

Hai isi mein pyaar ki aabroo...

Some songs never need praising... this one falls under that category. One of my favorite haunting melodies.

This set of artists have always given a hit melodies, in fact just evergreen songs...

I love how little the camera moves and how it captures the scenes.


hai isi mein pyaar ki aabroo
woh jafaa kare main wafaa karoon
jo wafaa bhi kaam na aa sake
to wohi kahe ke main kya karoon
hai isi mein pyaar ki aabroo

(mujhe gham bhi unka azeez hai
ke unhi ki di hui cheez hai) (2)
ke unhi ki di hui cheez hai
yehi gham hai ab meri zindagi
ise kaise dil se judaa karoon
hai isi mein pyaar ki aabroo

(jo na ban sake main woh baat hoon
jo na khatm ho main woh raat hoon) (2)
jo na khatm ho main woh raat hoon
yeh likhaa hai mere naseeb mein
yoon hi shammaa ban ke jalaa karoon
hai isi mein pyaar ki aabroo

(na kisi ke dil ki hoon aarzoo
na kisi nazar ki hoon justajoo) (2)
na kisi nazar ki hoon justajoo
main woh phool hoon jo udaas hoon
na bahaar aaye to kyaa karoon

hai isi mein pyaar ki aabroo
woh jafaa kare main wafaa karoon
jo wafaa bhi kaam na aa sake
to wohi kahe ke main kya karoon
hai isi mein pyaar ki aabroo

Film: Anpadh (1962)
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: Madan Mohan
Lyrics: Raja Mehdi Ali Khan
Picturized on: Mala Sinha, Dharmendra

Friday, March 12, 2010

Tere Is Pyaar Ka Shukriya Mere Meherbaan

Just discovered this romantic melody recently... and what makes it even better is the fact that it's a piano & party song.

Rafi sahab's voice is so much fun to listen to... I've been listening to this one on repeat since last week.

Love Dutta sahab's music. I wonder whether he's related to JP Dutta.


aaj in haathon mein phir se zindagi hai saaz hai
kya kahoon aye husn tujh par kitna mujhko naaz hai

tere is pyaar ka shukriya mere meherbaan (2)
mere meherbaan (2)

(socha na tha kabhi itni haseen bhi
hoti hai zindagi aye jaan-e-jaan) (2)
tere is pyaar ka shukriya mere meherbaan (2)
mere meherbaan (2)

(maana ke zindagi kaaton mein hai pali
phoolon se hai bhari meri daastaan) (2)
tere is pyaar ka shukriya mere meherbaan (2)
mere meherbaan (2)

(tu hai to raat kya darne ki baat kya
taaron se hai bharaa mera aasmaan) (2)
tere is pyaar ka shukriya mere meherbaan (2)
mere meherbaan (2)


Film: Aag Aur Daag (1970)
Singer: Mohammad Rafi
Music Director: N. Dutta
Lyrics: Noor Dewasi, S. H. Bihari
Picturized on: Joy Mukherjee, Komal? & Others


Thursday, March 4, 2010

Hum yahaan tum yahaan dil jawaan woh samaa...

I got to hear the last two lines of this song while driving back during the rush hour and I wrote some words down. As it was the end of the music program, I couldn't figure out the whole song so it took a while to actually track it online but I just had to find it... finally did find it!! Wow what a song... and I know why I like it. It's because it sounds like quite a few other songs. I just can't recall them all. Need to consult my sources as I have been humming a few lines of some other songs after listening to this one. Can't wait to find out what else this song sounds like...

Good music by M.M. Kreem and Kumar Sanu and Alka Yagnik have gone pretty darn good job singing it too. Enjoy this melody!


M: (hum yahaan tum yahaan dil jawaan woh samaa
lekin kahaan shuru shuru ke pyaar ka
phir se chalo churaaye dil yaar ka) (2)
hum yahaan tum yahaan

phir ho wohi baatein phir ho wohi raatein (2)
phir wohi rat jage phir wohi bechaineeyaan
hum yahaan tum yahaan dil jawaan woh samaa
lekin kahaan shuru shuru ke pyaar ka
phir se chalo churaaye dil yaar ka

te re na... te re na..

jab kuchh kahe lab se pehle kahe sab se (2) [the music here reminds me of tu mile dil khile]
jaan-e-man meri jaan jaan-e-jaan jaan-e-jahaan
hum yahaan tum yahaan dil jawaan woh samaa
lekin kahaan shuru shuru ke pyaar ka
phir se chalo churaaye dil yaar ka

F: chaahaa tumhe kitnaa dhoondhaa tumhe kitnaa (2)
mil gaye hum magar kho gaye phir hum kahaan
hum yahaan tum yahaan dil jawaan woh samaa..


Film: Zakhm (1998)
Singer: Kumar Sanu, Alka Yagnik
Music Director: M. M. Kreem
Lyrics: Anand Bakshi
Picturized on: Sonali Bendre, Ajay Devgan

Male solo:


Duet: