Friday, March 19, 2010

Bedardi baalma tujhko...

Been listening to songs that fall under "Lata sings for Sadhana" category. This one is my favorite for it's music and lyrics and well, everything. Hasrat Jaipuri is the man! What marvelous stuff he has written... my God! it's mind-blowing!


aa aa aa...
bedardi baalma tujhko mera man yaad kartaa hai (2)
barastaa hai jo aankhon se woh saawan yaad kartaa hai
bedardi baalma tujhko mera man yaad kartaa hai

kabhi hum saath guzare jin sajili rehguzaaro se
fizaa ke bhes mein girte hai ab patte chanaaro se
yeh raahen yaad karti hai yeh gulshan yaad karta hai
bedardi baalma tujhko mera man yaad kartaa hai
barastaa hai jo aankhon se woh saawan yaad kartaa hai
bedardi baalma tujhko mera man yaad kartaa hai

koyi jhonkha hawaa ka jab meraa aanchal udaata hai
gumaan hotaa hai jaise tu mera daaman hilaata hai
kabhi chooma tha jo toone woh daaman yaad karta hai
bedardi baalma tujhko mera man yaad kartaa hai
barastaa hai jo aankhon se woh saawan yaad kartaa hai
bedardi baalma tujhko mera man yaad kartaa hai

(what fantastic haunting music plays here!!)

wohi hai jheel ke mandar woh hi kirno ki barsaate
jahaan hum tum kiya karte the pehro pyaar ki baatein
tujhe is jheel ka khaamosh darpan yaad kartaa hai
bedardi baalma tujhko mera man yaad kartaa hai
barastaa hai jo aankhon se woh saawan yaad kartaa hai
bedardi baalma tujhko mera man yaad kartaa hai


Film: Arzoo (1965)
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Music Directors: Shankar Jaikishan
Picturized on: Sadhana, Rajendra kumar


No comments: