Thursday, September 25, 2014

Hai chaand sitaaron mein...

What a marvelous Bhimpalasi raag ghazal! Melodious isn't even the word.


hai chaand sitaaron mein chamak tere badan ki (2)
har phool se aati hai mehak tere badan ki
hai chaand sitaaron mein chamak tere badan ki

lagta hai khuda ne tujhe haathon se banaaya (2)
hai taaj mahal mein bhi jhalak tere badan ki
hai chaand sitaaron mein chamak tere badan ki

barsaat ke mausam mein tera bheegate rehna (2)
hoti hai mere dil mein kasak tere badan ki
hai chaand sitaaron mein chamak tere badan ki

gaate hue ithalaake guzarna tera humdum
hai taaron mein is dil ke khanak tere badan ki
hai chaand sitaaron mein chamak tere badan ki

har phool se aati hai mehak tere badan ki
hai chaand sitaaron mein chamak tere badan ki

Album: Sarmaya
Singers: Ahmed Hussain, Muhammad Hussain
Music Director: Ahmed Hussain, Muhammad Hussain
Lyrics: Zubair Rizvi

Friday, January 31, 2014

Dil yeh duaa de rahaa hai sanam...

When I heard this song today while driving, first thing that caught my attention was the music and of course the beautiful lyrics. I have a feeling it's raag bhimpalasi. I could be totally wrong, but the way I have been wanting to listen to it over and over again says it's definitely classical and more so bhimpalasi based song. In any case, so then the evening was spent looking at the video of the song. It makes me want to watch this movie now.

What beautiful music Jatin-Lalit make and the lyrics go perfectly with the raag of the song. I am loving it!!


Mahima makes such a good actor for slow romantic songs. Reminds me of another song of hers, which I think I should post on here. Ajay Devgan looks handsome too I think and perfect to match Mahima's role.


F: dil yeh duaa de rahaa hai sanam
oh dil yeh duaa de rahaa hai sanam
pyaar zinda humaara rahe
yahaan chaahe rahe na rahe hum
M: dil yeh duaa de rahaa hai sanam
pyaar zinda humaara rahe
yahaan chaahe rahe na rahe hum
dil yeh duaa de rahaa hai sanam

F: aarzoo yehi na bicchaDe kisi moD pe
raah mein kabhi na jaana mujhe chhoD ke
chaahenge hum yoon hi tum ko
hogi mohabbat na kam
M: dil yeh duaa de rahaa hai sanam
pyaar zinda humaara rahe
yahaan chaahe rahe na rahe hum
F: dil yeh duaa de rahaa hai sanam

M: har khushi mile daaman mein dildaar ke
aadmi wohi ruke na kabhi haar ke
manzil manzil tum ko paaye
chume tumhaare kadam
F: dil yeh duaa de rahaa hai sanam
pyaar zinda humaara rahe
yahaan chaahe rahe na rahe hum
M: dil yeh duaa de rahaa hai sanam
pyaar zinda humaara rahe
yahaan chaahe rahe na rahe hum
F: yahaan chaahe rahe na rahe hum


Film: Zameer: The Fire Within (2005)
Singers: Udit Narayan, Kavita Krishnamurthy
Music Director: Jatin Pandit, Lalit Pandit
Lyrics: Sameer
Picturized on: Mahima Choudhary, Ajay Devgan

Monday, January 20, 2014

Itna na mujhse tu pyaar badha

The first time I had heard this song was in a school play when I was in 4th standard back in the 80s. I remember the tunes making a spot in my mind and heart and I fell in love with it. It was years later that I realized the music actually originated from Mozart's Symphony No. 40. I still call it inspired by the symphony and not copied from it for my own reasons. ;) Coming back to our song, I think it's very beautifully written and only this music could do justice to it. Absolutely love the words penned by Rajinder Krishan sahab and music of Salil Chaudhary is wonderful. Not to forget the amazing singers for making it what it is!! An amazing song.. I'm glad Talat sahab sung this one and not any other male singers. They wouldn't have been able to do justice to it as well as Talat sahab, I think. Sunil Dutt looks ever so handsome and Asha Parekh so young and beautiful. Who wouldn't fall in love with these gorgeous people? Anyone would!


M: itna na mujhse tu pyaar badha
ke main ek baadal aawaara
kaise kisi ka sahaara banu
ke khud beghar bechara

F: is liye tujhse main pyaar karoon
ke tu ek baadal aawaara
janam janam se hoon saath tere
hai naam mera jal ki dhaara

M: itna na mujhse tu pyaar badha
ke main ek baadal aawaara
F: janam janam se hoon saath tere
hai naam mera jal ki dhaara

M: (mujhe ek jagaah aaraam nahin
ruk jaana mera kaam nahin) (2)
mera saath kahaan tak dogi tum
main dez bides ka banjaara

itna na mujhse tu pyaar badha
ke main ek baadal aawaara
kaise kisi ka sahaara banu
ke khud beghar bechara

F: is liye tujhse main pyaar karoon
ke tu ek baadal aawaara
janam janam se hoon saath tere
hai naam mera jal ki dhaara

(o neel gagan ke deewaane
tu pyaar na mera pehchaane) (2)
main tab tak saath chaloon tere
ab tak na kahe tu main haara

is liye tujhse main pyaar karoon
ke tu ek baadal aawaara
janam janam se hoon saath tere
hai naam mera jal ki dhaara

M: itna na mujhse tu pyaar badha
ke main ek baadal aawaara
kaise kisi ka sahaara banu
ke khud beghar bechara

(kyon pyaar mein tu naadaan bane
ek paagal ka armaan bane) (2)
F: ab laut ke jaana mushkil hai
maine chhoD diya hai jag saara

M: itna na mujhse tu pyaar badha
ke main ek baadal aawaara
F: janam janam se hoon saath tere
hai naam mera jal ki dhaara


Film: Chhaya (1961)
Singers: Lata Mangeshkar, Talat Mahmood
Music Director: Salil Choudhary
Lyrics: Rajinder Krishan
Picturized on: Asha Parekh, Sunil Dutt


Friday, January 3, 2014

Jeevan Dor Tumhi Sang Baandhi

Raag Yaman Kalyan has been one of my favorite ones in recent times and subconsciously or otherwise I keep humming songs that are based on this raag so today as I sat down to listen to all of these songs on youtube, and discovered this beautiful melody by none other than Lata Mangeshkar. Oh how I wish I can go to Mumbai and meet her once. Just once. I'd feel more blessed. The song is out of this world and it's thanks to LP music. Bharat Vyas has penned this one. Wish I also got to see the video of the song... absolutely love everything about this one!


jeevan dor tumhi sang baandhi (2)
kya toDenge is bandhan ko
jag toofaan aandhi re aandhi

ho na sake kabhi hum tum nyaare (2)
do tan hai ek praaN hamaare
chaahe mile path mein andhiyaare
chaahe ghire ho baadal saare
phir bhi rahoongi tumhaari tumhaari
jeevan dor tumhi sang baandhi
jeevan dor

(so love the violins here!)

yoon ghul-mil rehna jeevan mein
jaise rahe kajra akhiyan mein
teri chhabi chhaayi rahe man mein
tera hi naam rahe dhadkan mein
tere daras ki main pyaasi re pyaasi
jeevan dor tumhi sang baandhi (2)

kaisa mujhe vardaan mila hai (2)
tum kya mile bhagwaan mila hai
ab to janam bhar sang rahega
is mehndi ka rang rahega
tere charaN ki main daasi re daasi
jeevan dor tumhi sang baandhi (2)


Film: Sati Savitri (1964)
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: Laxmikant Pyarelal
Lyrics: Bharat Vyas
Picturized on: ?

Audio: