Thursday, July 14, 2011

Yaad mein teri jaag jaag ke hum...

One of the best scenes of the film with superb dialogs! It is one of my favorite scenes of the film where Nawaab sahab (Ashok Kumar) actually thinks bad of his friend, Anwar (Rajendra Kumar) but reality is something completely different and how at the end of a-minute-long conversation between Husna and Anwar leaves him speechless and feeling guilty. It's amazing and they've picturized it so well. What top-notch acting by all the actors!

I'm so happy this clip just includes this scene and the beautiful song that follows. Of course, it's hard to choose just one song from this one as each and everyone is fabulous but this one does get a little higher score for having out-of-the-world music, meaningful touchy lyrics and the gorgeous couple with great on-screen chemistry!


M: yaad mein teri jaag jaag ke hum
raat bhar karvate badalte hai
har ghadi dil mein teri ulfat ke
dheeme dheeme chiraag jalte hai

F: jab se toone nigaah pheri hai
din hai soona to raat andheri hai
chaand bhi ab nazar nahin aata
ab sitaare bhi kam nikalte hai

yaad mein teri jaag jaag ke hum
raat bhar karvate badalte hai

M: loot gayi woh bahaar ki mehfil
chhut gayi hum se pyaar ki manzil
zindagi ki udaas raahon mein
teri yaadon ke saath chalte hai

yaad mein teri jaag jaag ke hum
raat bhar karvate badalte hai

F: tujhko paa kar hume bahaar mili
tumjhse chhutkar magar yeh baat khuli
baagbaan bhi chaman ke phoolon ko
apne pairon se khud masalte hai

yaad mein teri jaag jaag ke hum
raat bhar karvate badalte hai

M: kyaa kahe tujhse kyon hui doori
hum samajhte hai apni majhboori
tujhko maaloom kyaa ke tere liye
dil gham aansuo mein dhalte hai

F: yaad mein teri jaag jaag ke hum
raat bhar karvate badalte hai
har ghadi dil mein teri ulfat ke
dheeme dheeme chiraag jalte hai


Film: Mere Mehboob (1963)
Singers: Mohd. Rafi, Lata Mangeshkar
Music Director: Naushad
Lyrics: Shakeel Badayuni
Picturized on: Rajendra Kumar, Sadhana