Friday, June 27, 2008

Friday filosofical song

jiyo to aise jiyo jaise sab tumhaaraa hai (2)
maro to ause ke jaise tumhaaraa kuchh bhi nahin
jiyo to aise jiyo jaise sab tumhaaraa hai
jiyo to aise jiyo

yeh ek raaz ke duniya na jis ko jaan saki
yehi woh raaz hai jo zindagi ka haansil hai
tumhi kaho tumhe yeh baat kaise samjhaau
ke zindagi ki ghutan zindagi ki qaatil hai (2)
har ek nigaah ko kudrat kaa ek ishaaraa hai
jiyo to aise jiyo jaise sab tumhaaraa hai
jiyo to aise jiyo

jahaan mein aa ke jahaan se khiche khiche na raho
woh zindagi hi nahin jis mein aas bujh jaaye
koi bhi pyaas dabaaye se dab nahin sakti
isi se chain milegaa ke pyaas bujh jaaye (2)
yeh keh ke mudtaa huaa zindagi kaa dhaaraa hai
jiyo to aise jiyo jaise sab tumhaaraa hai
jiyo to aise jiyo

yeh aasmaan yeh zameen yeh fizaa yeh nazaare (2)
taras rahe hai tumhaari meri nazar ke liye
nazar churaa ke har ek shay ko yoon naa thukraao
koi shariq-e-safar dhoondh lo safar ke liye (2)
bahot kareeb se maine tumhe pukaaraa hai (2)

jiyo to aise jiyo jaise sab tumhaaraa hai
maro to ause ke jaise tumhaaraa kuchh bhi nahin
jiyo to aise jiyo jaise sab tumhaaraa hai
jiyo to aise jiyo


Film: Bahu Beti (1965)
Music Director: Ravi
Singer: Mohammad Rafi
Lyrics: Sahir Ludhianvi
Picturized on: Joy Mukherjee, Mala Sinha
Raag: Kalyan

Thursday, June 26, 2008

Tum To Pyaar Ho

Heard this one only yesterday for the first time. What a beautiful duet!

Thanks to google I was able to find what raag the song is based on.

F: aa aa aa
aa aa aa aa
tum to
tum to pyaar ho sajnaa
tum to pyaar ho
mujhe tum se pyaaraa aur naa koi
tum to pyaar ho sajnaa

M: tum to pyaar ho sajni
tum to pyaar ho
mujhe tum se pyaaraa aur naa koi
tum to pyaar ho

(chorus)

F: aa aa aa aa
kitna hai pyaar hum se itna bataa do

(chorus)

M: ambar pe taare jitne itna samajh lo
F: sach? meri kasam?
M: teri kasam teri yaad mujhe loote
F: kasame to khaanewaale hote hai jhoothhe
chalo jaao hato jaao dil kaa daaman chhodo
M: tum to pyaar ho sajni
tum to pyaar ho
mujhe tum se pyaaraa aur naa koi
tum to pyaar ho

(chorus)

M: o ho ho ho ho ho
aa ke naa jaaye kabhi aisi bahaar ho
F: tum bhi humaare liye jeevan singaar ho
M: sach? meri kasam?
F: teri kasam tu hai tu aankh ke til me
M: tum bhi chhoopi ho mere shishaa-e-dil mein
o mere humdum
mere humdum
meri baat to maano
F: tum to pyaar ho sajnaa
tum to pyaar ho
mujhe tum se pyaaraa aur naa koi
M: tum to pyaar ho sajni
F: tum to pyaar ho sajnaa
M: o sajni
Both: tum to pyaar ho


Film: Sehra (1963)
Singer(s): Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Music Director: Ramlal
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Picturized on: Sandhya, Prashant
Raag: Maru Bihag

Tuesday, June 24, 2008

Kabhi Kabhi Aditi Zindagi...

Just came across this one on Aspi's Drift today. Nice catchy beat to the song and it's fun to watch it as well with the new faces. Well, not both of them as I've heard of Genelia's work in Bommarillu earlier, but it's a first one for Imran Khan who happens to be nephew of Aamir Khan and who I seriously think looks a lot like cousin of Daniel Radcliffe and/or Jugal Hansraj than the uncle himself.

Near the end, the song reminded me of aye udi udi udi from Saathiya (2002) that's sung by Adnan Sami and of course music by none other than Dilip himself meaning A. R. Rahman. Lyrics courtesy: Gulzar.

This too makes a fun song to listen to on a day you need to get an extra dose of caffeine.


kabhi kabhi aditi zindagi mein yoon hi koi apna lagta hai
kabhi kabhi aditi woh bichhad jaaye to ek sapna lagta hai
aise mein koi kaise apne aansuo ko behne se roke
aur kaise koi soch le everything's gonna be okay

kabhi kabhi to lage zindagi mein rahi naa khushi aur naa mazaa
kabhi kabhi to lage har din mushkil aur har pal ek sazaa
aise mein koi kaise muskuraye kaise hans de khush hoke
aur kaise koi soch de everything gonna be okay

soch zara jaaneja tujhko hum kitna chahte hai
rote hai hum bhi agar teri ankhon mein aansu aate hai
gaane to aata nahin hai magar phir bhi hum gaate hai
ke aditi maan kabhi kabhi saare jahan mein andhera hota hai
lekin raat ke baad hi to savera hota hai

kabhi kabhi aditi zindagi mein yoon hi koi apna lagta hai
kabhi kabhi aditi wo bichhar jaaye to ek sapna lagta hai
hey aditi hans de hans de hans de hans de hans de hans de tu zara
nahin to bus thoda thoda thoda thoda thoda thoda muskura

tu khush hai to lage ke jahan mein chhaayi hai khushi
suraj nikle baadlon se aur baaTen zindagi
sun to zara madhosh hawa tujhse kehne lagi
ke aditi woh jo bichhadte hai ek na ek din phir mil jaate hai
aditi jaane tu ya jaane na phool phir khil jaate hai

kabhi kabhi aditi zindagi mein yoon hi koi apna lagta hai
kabhi kabhi aditi woh bichhar jaaye to ek sapna lagta hai
(hey aditi hans de hans de hans de hans de hans de hans de tu zara
nahin to bus thoda thoda thoda thoda thoda thoda muskura) (5)


Film: Jaane Tu Ya Jaane Na (2008)
Singer: Rashid Ali
Music Director: A. R. Rehman
Lyrics: Abbas Tyrewala
Picturized on: Imran Khan, Genelia D'Souza

Friday, June 20, 2008

Shaam-e-bahaara subah-e-chaman

One of my favorite songs in the collection of 100 songs - A Tribute to Mohd Rafi.


shaam-e-bahaara subah-e-chaman (2)
tu mere khwaabon ki pyaari dulhan (2)
shaam-e-bahaara subah-e-chaman (2)

tujhse nazar meri takraa gayi (2)
jannat baru-e-zameen aa gayi
dil ke andheron mein phooti kiran (2)
shaam-e-bahaara subah-e-chaman (2)
tu mere khwaabon ki pyaari dulhan
shaam-e-bahaara subah-e-chaman

dil chheenati hai teri har adaa (2)
maasoom shokhi mein doobi hayaa
kyaa saadgi hai yeh kyaa baankpan (2)
shaam-e-bahaara subah-e-chaman (2)
tu mere khwaabon ki pyaari dulhan
shaam-e-bahaara subah-e-chaman

tere liye kitnaa bechain thaa (2)
mujh par khudaa ko taras aa gayaa
kaam aa gayi mere dil ki lagan (2)
shaam-e-bahaara subah-e-chaman (2)
tu mere khwaabon ki pyaari dulhan (2)
shaam-e-bahaar aa subah-e-chaman (2)


Film: Aaja Sanam (1975)
Singer: Mohammad Rafi
Music Director: Usha Khanna
Lyrics: Indeevar
Picturized on: Feroz Khan, Tanuja
Video: http://www.youtube.com/watch?v=2qOpfrkCaG8

Thursday, June 19, 2008

Badan Pe Sitaare Lapete Hue

Animal charm at it's best!! I believe only Shammi Kapoor can pull this one off, no one, I repeat, no one in Bollywood has an ability to act like this and still look respectful, handsome, charming, adorable yet romantic.

The very first time I heard this one was when I was probably 8 or so. It was an annual function at a college. Our family friend's son used to live in dorms and attended college in town and visited us often as he didn't have any family near by. He invited the whole family to attend the annual day at his college. Since that day, I longed for attending college, not for anything but just those annual days. *sigh* they're just so much fun. That was probably the only one I have ever attended in my entire life and a most memorable one at that. I used to think Vyjayantimala looked like a princess in that red saari and adored her immensely back then, but she still looks great here; at the same time, I think she has looked better.


badan pe sitaare lapete hue
o jaane tamanna kidhar jaa rahi ho
zaraa paas aao to chain aa jaaye (2)

badan pe sitaare lapete hue
o jaane tamanna kidhar jaa rahi ho
zaraa paas aao to chain aa jaaye (2)

hum hi jab naa honge to aye dilrubaa
kise dekhkar haaye sharmaaogi
naa dekhogi phir tum kabhi aainaa
hamaare binaa roz ghabraaogi
badan pe sitaare lapete hue
o jaane tamanna kidhar jaa rahi ho
zaraa paas aao to chain aa jaaye (2)

hai banane sanvarne kaa jab hi mazaa
koi dekhne waalaa aashiq to ho
nahin to ye jalwe hai bujhte diye
koi mitne waalaa ek aashiq to ho
badan pe sitaare lapete hue
o jaane tamanna kidhar jaa rahi ho
zaraa paas aao to chain aa jaaye (2)

mohabbat ki yeh intehaa ho gayi
ki masti mein tumko khudaa keh gayaa
zamaanaa yeh insaaf kartaa rahe
buraa keh gayaa yaa bhalaa keh gayaa
badan pe sitaare lapete hue
o jaane tamanna kidhar jaa rahi ho
zaraa paas aao to chain aa jaaye (2)

badan pe sitaare lapete hue
o jaane tamanna kidhar jaa rahi ho
zaraa paas aao to chain aa jaaye (2)


Film: Prince (1969)
Singer: Mohammed Rafi
Music Director: Shankar Jaikishan
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Picturized on: Shammi Kapoor, Vyjayantimala Bali, Ajit

Wednesday, June 18, 2008

Akele Hai Chale Aao

I just realized that this song is written by Shamim Jaipuri. Never heard his name until today... wow! what fabulous poetry he writes. Rafi sahab's singing makes you feel the emotions in this one. And well acted by Rajesh Khanna. He looks so handsome! Now I can believe that there were girls that actually committed suicide after hearing about his marriage (to Dimple Kapadia). Now I will be watching Raaz again just for this song.


M: akele hai chale aao jahaan ho (2)
kahaan aawaaz de tum ko kahaan ho
akele hai chale aao jahaan ho

tumhe hum dhoondhte hai hume dil dhoondhta hai (2)
na ab manzil hai koi na koi raasta hai
akele hai chale aao jahaan ho
kahaan aawaaz de tum ko kahaan ho
akele hai

(love the orchestra playing here)

yeh tanhaayi ka aalam aur is par aap ka gham (2)
na jeete hai na marte bataao kya kare hum
akele hai chale aao jahaan ho
kahaan aawaaz de tum ko kahaan ho
akele hai

F: chale aao (3)


Film: Raaz (1967)
Singer: Mohd Rafi & Lata Mangeshkar
Music Director: Kalyanji Anandji
Lyrics: Shamim Jaipuri
Picturized on: Rajesh Khanna & Babita
Raaga: Charukeshi

Tuesday, June 17, 2008

Likhe Jo Khat Tujhe

When it comes to Mohd. Rafi songs, I just can't get enough. And if it is a Shashi Kapoor song, then it just doesn't get any better. This one of my favorite songs. What a romantic song!


(likhe jo khat tujhe woh teri yaad mein
hazaaron rang ke nazaare ban gaye) (2)

saveraa jab huaa to phool ban gaye
jo raat aayi to sitaare ban gaye
likhe jo khat tujhe

koi naghmaa kahin goonjaa kahaa dil ne yeh tu aayi
kahin chatki kali koi main yeh samjhaa tu sharmaayi
koi khushboo kahin bikhari lagaa yeh zulf lehraayi
likhe jo khat tujhe woh teri yaad mein
hazaaron rang ke nazaare ban gaye
saveraa jab huaa to phool ban gaye
jo raat aayi to sitaare ban gaye
likhe jo khat tujhe

fizaa rangeen adaa rangeen yeh ithalaanaa yeh sharmaanaa
yeh angdaayi yeh tanhaayi yeh tarsaa kar chale jaanaa
banaa degaa nahin kis ko jawaan jaadoo yeh deewaanaa
likhe jo khat tujhe woh teri yaad mein
hazaaron rang ke nazaare ban gaye
saveraa jab huaa to phool ban gaye
jo raat aayi to sitaare ban gaye
likhe jo khat tujhe

jahaan tu hai wahaan main hoon mere dil ki tu dhadkan hai
musaafir main tu manzil hai main pyaasaa hoon tu saawan hai
meri duniyaa yeh nazaren hai meri jannat yeh daaman hai
likhe jo khat tujhe woh teri yaad mein
hazaaron rang ke nazaare ban gaye
saveraa jab huaa to phool ban gaye
jo raat aayi to sitaare ban gaye
likhe jo khat tujhe


Film: Kanyadaan (1968)
Singer: Mohammad Rafi
Music Director: Shankar Jaikishan
Lyrics: Neeraj
Picturized on: Shashi Kapoor & Asha Parekh

Video:


Better quality audio

Friday, June 13, 2008

Sukh Ke Sab Saathi

A beautiful bhajan by Rafi sahab picturized on Dilip Kumar.


sukh ke sab saathi dukh mein na koyi (2)
mere raam mere raam
tera naam ek saachaa doojaa na koyi
sukh ke sab saathi dukh mein na koyi

jeevan aani jaani chhaaya (2)
jhoothi maya jhoothi kaya
phir kaahe ko saari umariyaa (2)
paap ki gathri dhoyi
sukh ke sab saathi dukh mein na koyi

naa kuchh teraa naa kuchh meraa (2)
yeh jag jogi waala pheraa
raaja ho yaa rank sabhi kaa (2)
ant ek saa hoi
sukh ke sab saathi dukh mein na koyi

baahar ki tu maati phaanke (2)
man ke bheetar kyon naa jhaanke
ujale tan par maan kiyaa (2)
aur man ki mail na dhoyi

sukh ke sab saathi dukh mein na koyi
mere raam mere raam
tera naam ek saachaa doojaa na koyi
sukh ke sab saathi dukh mein na koyi


Film: Gopi (1970)
Singer: Mohd. Rafi
Music Director: Kalyanji Anandji
Lyrics: Rajendar Krishan

Wednesday, June 11, 2008

Kaun Pari Neel Gagan Ki...

I think only Rafi sahab can sing this song. If anyone else attempted it, they'd fail with a guarantee. Music of Chitragupta is beautiful and very cute lyrics by Prahlad Sharma. :)

If you find the audio/video of this song online, please do share. Thanks.


kaun pari neel gagan ki chali aayi re paayaliyaa chhankaaye (2)
dekh jise saanwari ghataa lehraayi re rimjhim ras barsaaye

lavang lataa si komal kaaya nainaa do kajraare (2)
hoth kamal ki paankhudiyon se gaal arun ras naare
khil khil kaliyon si muskaati man bhanwaraa lalchaaye haaye
kaun pari neel gagan ki chali aayi re paayaliyaa chhankaaye

rooth ke mat jaa o mrig-nayani yug yug ke hum saathi (2)
jal na sakegaa deep akelaa ban jaa tu meri baati
pyaar kare hum dono aisa swarg yehi bas jaaye haaye
kaun pari neel gagan ki chali aayi re paayaliyaa chhankaaye (2)


Film: Prem Ki Ganga (1971)
Singer: Mohammed Rafi
Music Director: Chitragupt
Lyrics: Prahlad Sharma

Saturday, June 7, 2008

Aye Dil Mujhe Bata De

aa ha ha ha ha ha ha
aa ha ha aa ha ha aa ha ha

(aye dil mujhe bata de tu kis pe aa gaya hai
woh kaun hai jo aa kar khwaabon pe chha gaya hai) (2)

(masti bharaa taraanaa kyon raat gaa rahi hai
aankhon mein neend aa kar kyon door jaa rahi hai) 2
dil mein koyi sitamgar armaan jagaa gayaa hai
woh kaun hai jo aa kar khwaabon pe chha gaya hai
aye dil mujhe bata de tu kis pe aa gaya hai
woh kaun hai jo aa kar khwaabon pe chha gaya hai

betaab ho raha hai yeh dil machal machal ke
shaayad yeh raat beete karvat badal badal ke

(la la laa
la la laa...) (2)

betaab ho raha hai yeh dil machal machal ke
shaayad yeh raat beete karvat badal badal ke
aye dil zara sambhal jaa shaayad woh aa gaya hai
woh kaun hai jo aa kar khwaabon pe chha gaya hai
aye dil mujhe bata de tu kis pe aa gaya hai
woh kaun hai jo aa kar khwaabon pe chha gaya hai

(bheegi hui hawaae mausam bhi hai gulaabi
kya chaand kya sitaare har cheez hai sharaabi) (2)
dheere se ek naghma koyi suna gaya hai
woh kaun hai jo aa kar khwaabon pe chha gaya hai
aye dil mujhe bata de tu kis pe aa gaya hai
woh kaun hai jo aa kar khwaabon pe chha gaya hai


Film: Bhai Bhai (1956)
Singer: Geeta Dutt
Music Director: Madan Mohan Kohli
Lyrics: Rajendar Krishan
Picturized on: Ashok Kumar, Shyama

Friday, June 6, 2008

Kahin Ek Masoom Naazuk Si Ladki

This one is specially for my dear Avadh. I hope you find someone just like the song describes. :)

Waah! what a totally ladki-pataofying song. Hats off to Kamal Amrohi sahab.

What killer music!!! notice the minimal music when Rafi sahab sings and other times you hear the out of the world flute and sitar playing... oh my!


kahin ek masoom naazuk si ladki
bahot khubsoorat haaye
bahot khubsoorat magar saanwali si
bahot khubsoorat

mujhe apne khwaabon ki baahon mein paakar
kabhi neend mein muskuraati to hogi
usi neend mein kasmasaa-kasmasaa kar
sarhane se takiye giraati to hogi
kahin ek masoom naazuk si ladki

wohi khwaab din ke munderon pe aa ke
use man hi man mein lubhaate to honge
kayi saaz seene ki khamoshiyon mein
meri yaad se jhan-jhanaate to honge
woh besaakhtaa dhime dhime suron mein
meri dhoon mein kuch gungunaati to hogi
kahin ek masoom naazuk si ladki

chalo khat likhe jee mein aata to hogaa
magar ungaliyaan kanp-kanpaati to hongi
kalam haath se chhut jaata to hogaa
umange kalam phir uthaati to hongi
meraa naam apni kitaabon pe likhkar
woh daanton mein ungali dabaati to hongi
kahin ek masoom naazuk si ladki

zubaan se kabhi uff nikalti to hogi
badan dhime dhime sulagta to hogaa
kahin ke kahin paanv padte to honge
zameen par dupatta latakta to hogaa
kabhi subah ko shaam kehti to hogi
kabhi raat ko din bataati to hogi
kahin ek masoom naazuk si ladki
bahot khubsoorat magar saanwali si
bahot khubsoorat


Film: Shankar Hussain (1977)
Singer: Mohammed Rafi
Music Director: Khaiyyam Sharmaji
Lyrics: Kamal Amrohi

Soona Soona Mann Ka Aangan

I simply adore the songs sung by these two singers.


M: soona soona mann ka aangan
dhoondhe payal ki woh chhann chhann
sooni sooni mann ki sargam
dhoondhe geet tere humdum

mann mein shaam ho ya savera
lagaa teri hi yaadon ka dera
toone bandhan kyon yeh toda
toone kaahe ko mooh moda
kaho na (3)

F: phool phool bhanwara dole
mann mein goonje teri yaad
baag mein papiha bole
pihu pihu piyu kahaan
aa aa aa

M: kaise kaate sooni raaten
kaho na (2)
kaise bhoole beeti baaten
kaho na (2)

kaise thaame phir tera daaman
kaise mehke mann ka yeh aangan
kaise bhoole preet teri saajan
kaise baandhe toota yeh bandhan

mann mein shaam ho ya savera
laga teri hi yaadon ka dera
toone bandhan kyon yeh toda
toone kaahe ko mu moda
kaho na (3)

F: phool phool bhanwara dole
mann mein goonje teri yaad
baag mein papiha bole
pihu pihu piyu kahaan

M: phool phool bhanwara dole
mann mein goonje teri yaad
baag mein papiha bole
pihu pihu piyu kahaan

Both: phool phool bhawara dole
mann mein goonje teri yaad
baag mein papiha bole
pihu pihu piyu kahaan

F: kaho na
hm hm hm
aa aa aa...


Film: Parineeta (2005)
Singers: Sonu Nigam & Shreya Ghoshal
Composer: Swanand Kirkire


Sunday, June 1, 2008

Keh Ke Bhi Na Aaye Mulaaqaat Ko...

These rare non-filmy ghazals are beyond beautiful! So much treasure that's hidden from the audience who'd appreciate and be grateful if they actually got to listen to it.

Unfortunately, no audio/video of this one available online.


(keh ke bhi na aaye mulaaqaat ko
chaand taare hase khoob kal raat ko) (2)
keh ke bhi na aaye

jab bhi patto ke tan chhu ke guzari hawaa (2)
teri aahat ka mujhko bharam saa huaa
jab bhi lehron ne saahil ke chume kadam (2)
teri paayal chunakne ka dhokhaa huaa
rang deewaangi ne dikhaaye kahin
pad gayaa thaamnaa dard ke haath ko
keh ke bhi na aaye

shaakh lipati gale se to mujhko lagaa (2)
haar baahon ka tumne pehnaayaa mujhe
jab papihe ki aayi sadaa bhi kahaan (2)
maine samjhaa ke tumne bulaayaa mujhe
teri jhuthi tasalli sitam kar gayi
main liye reh gayaa dil ki har baat ko

keh ke bhi na aaye mulaaqaat ko
chaand taare hase khoob kal raat ko
keh ke bhi na aaye

Category: Non-Filmi Ghazals
Singer: Mohd. Rafi
Music Director: Shyam Sharma
Lyrics: Laxman Shahabadi

Audio added July 27, 2010

Diyaa Yeh Dil Agar Usko

Been listening to this one since last week. Just one word for it: mind-blowing!

Many thanks to tauseefphy for putting this one up on youtube. The video is quite nice too.


diyaa yeh dil agar usko bashar hai kyaa kahiye
hua raqeeb to ho naamaabar hai kyaa kahiye
diyaa yeh dil

yeh zid ke aaj na aave aur aaye bin naa rahe (2)
kazaa se shikwaa humen kis kadar hai kyaa kahiye (2)
diyaa yeh dil

zah-e-karishma ke yoon de rakhaa hai hum ko fareb (2)
ke bin kahe hi unhe sab khabar hai kyaa kahiye (2)
diyaa yeh dil

samajh ke karte hai baazaar mein
aa aa... aa aa aa...
samajh ke karte hai baazaar mein woh pursish-e-haal
ke hum kahe ke sar-e-rehguzar hai kyaa kahiye (2)
hua raqeeb

kahaa hai kisne ke 'ghalib' buraa nahin lekin (2)
sivaaye is ke ke ashuftaasar hai kyaa kahiye

diyaa yeh dil agar usko bashar hai kyaa kahiye
hua raqeeb to ho naamaabar hai kyaa kahiye

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Urdu vocabulary:
bashar: man/mortal
raqeeb: rival/competitor
fareb: deceit/trick/fraud
pursish: asking, enquiring
naamaabar: messanger
haal: state/condition/narrative/circumstance
rehguzar: path/way
sar-e-rehguzar: on the road
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Category: Non-Filmi Ghazals
Singer: Mohd. Rafi
Music Director: Taj Ahmed Khan
Lyrics: Mirza Ghalib