Been listening to this one since last week. Just one word for it: mind-blowing!
Many thanks to tauseefphy for putting this one up on youtube. The video is quite nice too.
diyaa yeh dil agar usko bashar hai kyaa kahiye
hua raqeeb to ho naamaabar hai kyaa kahiye
diyaa yeh dil
yeh zid ke aaj na aave aur aaye bin naa rahe (2)
kazaa se shikwaa humen kis kadar hai kyaa kahiye (2)
diyaa yeh dil
zah-e-karishma ke yoon de rakhaa hai hum ko fareb (2)
ke bin kahe hi unhe sab khabar hai kyaa kahiye (2)
diyaa yeh dil
samajh ke karte hai baazaar mein
aa aa... aa aa aa...
samajh ke karte hai baazaar mein woh pursish-e-haal
ke hum kahe ke sar-e-rehguzar hai kyaa kahiye (2)
hua raqeeb
kahaa hai kisne ke 'ghalib' buraa nahin lekin (2)
sivaaye is ke ke ashuftaasar hai kyaa kahiye
diyaa yeh dil agar usko bashar hai kyaa kahiye
hua raqeeb to ho naamaabar hai kyaa kahiye
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Urdu vocabulary:
bashar: man/mortal
raqeeb: rival/competitor
fareb: deceit/trick/fraud
pursish: asking, enquiring
naamaabar: messanger
haal: state/condition/narrative/circumstance
rehguzar: path/way
sar-e-rehguzar: on the road
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Category: Non-Filmi Ghazals
Singer: Mohd. Rafi
Music Director: Taj Ahmed Khan
Lyrics: Mirza Ghalib
No comments:
Post a Comment