Saturday, May 31, 2008

Tu Jahaan Jahaan Chalegaa...

Weekend cleaning spree involved cleaning my old DVDs and while doing that I came across one with old Sa Re Ga Ma Classic episodes and listened to this one yet again by a singer named Suhasini. (It's funny, the girls back then dressed so decent in saaris; and blouses with collars and three-quarter length sleeves, looks so nice and not distracting at all). I couldn't get enough of the song from that small clip, so I had to listen to the actual one. It's too bad the video doesn't include the last two stanza that my audio version has.


tu jahaan jahaan chalegaa meraa saayaa saath hogaa (2)
meraa saayaa (4)

kabhi mujh ko yaad kar ke jo bahenge tere aansoo (2)
to wahin pe rok lenge unhe aa ke mere aansoo
tu jidhar kaa rukh karegaa meraa saayaa saath hogaa
tu jahaan jahaan chalegaa meraa saayaa saath hogaa
meraa saayaa (4)

tu agar udaas hogaa to udaas hoongi main bhi (2)
nazar aau yaa naa aau tere paas hoongi main bhi
tu kahin bhi jaa rahegaa meraa saayaa saath hogaa
tu jahaan jahaan chalegaa meraa saayaa saath hogaa
meraa saayaa (4)

main agar bichhad bhi jaau kabhi meraa gham naa karanaa (2)
meraa pyaar yaad kar ke kabhi aankh nam na karanaa
tu jo mood ke dekh legaa meraa saayaa saath hogaa
tu jahaan jahaan chalegaa meraa saayaa saath hogaa
meraa saayaa (4)

mere gham rahaa hai shaamil tere dukh mein tere gham mein (2)
mere pyaar ne diyaa hai teraa saath har janam mein
tu koi janam bhi legaa meraa saayaa saath hogaa
tu jahaan jahaan chalegaa meraa saayaa saath hogaa
meraa saayaa (6)


Film: Mera Saaya (1966)
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: Madan Mohan Kohli
Lyrics: Raja Mehdi Ali Khan
Picturized on: Sadhana, Sunil Dutt

No comments: