Wednesday, December 30, 2009

Tumhi Dekho Na...

A beautiful song with lovely lyrics and tunes. Yet another Sonu-Alka duet but they truly make it unique and it makes me want to listen to it again and again. Rani looks really pretty in saaris. :)


M: tumhi dekho na yeh kya ho gayaa
tumhaara hoon main aur tum meri
F: main hairaan hoon tumhe kya kahoon
ke din mein hui kaisi chaandni
M: jaagi jaagi si hai
phir bhi khwaabon mein hai
khoyi khoyi zindagi
F: tumhi dekho na yeh kya ho gayaa
M: tumhaara hoon main aur tum meri


M: behke behke se mann mehke mehke se tan
ujhali ujhali fizaaon mein hai

F: aaj hum hai jahaan kitni rangeeniyan
chhalki chhalki nigaahon mein hai

M: neeli neeli ghataaon se hai chal rahi
halki halki roshani

F: tumhi dekho na yeh kya ho gayaa
M: tumhaara hoon main aur tum meri
F: main hairaan hoon tumhe kya kahoon
ke din mein hui kaisi chaandni


F: main to anjaan thi yoon bhi hoga kabhi
pyaar barsega yoon toot ke

M: ho sach yeh iqraar hai
F: aa
M: sach yehi pyaar hai
baaki bandhan hai sab jhooth ke
F: aa... aa... aa...
meri saanson mein hai ghul rahi pyaar ki
dheemi dheemi raagini

M: tumhi dekho na yeh kya ho gayaa
tumhaara hoon main aur tum meri
F: main hairaan hoon tumhe kya kahoon
ke din mein hui kaisi chaandni
M: jaagi jaagi si hai
phir bhi khwaabon mein hai
khoyi khoyi zindagi


Film: Kabhi Alvida Naa Kehna (2006)
Singers: Sonu Nigam, Alka Yagnik
Music Director: Shankar-Ehsaan-Loy
Lyrics: Javed Akhtar
Picturized on: Shahrukh Khan, Rani Mukherjee

Wednesday, December 23, 2009

Tum Mujhe Yoon Bhula Na Paaoge

It is Rafi sahab's 85th birthday tomorrow. This song of his in his memory... wish he was still with us.

May he find peace wherever he is.

The best singer of HFM!

Male version:

tum mujhe yoon bhula na paaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge
jab kabhi bhi sunoge geet mere
sang sang tum bhi gungunaaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge
ho tum mujhe yoon

(woh bahaaren woh chaandani raaten
hum ne kee thi jo pyaar ki baaten) (2)
un nazaaron ki yaad aayegi
jab khayaalon mein mujhko laaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge
ho tum mujhe yoon

(mere haathon mein teraa chehra tha
jaise koyi gulaab hota hai) (2)
aur sahaara liya tha baahon ka
woh samaa kis taraah bhulaaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge
ho tum mujhe yoon

(mujhko dekhe bina qaraar na tha
ek aisa bhi daur guzraa hai) (2)
jhooth maano to puchh lo dil se
main kahoonga to rooth jaaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge


Female version:

tum mujhe yoon bhula na paaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge
jab kabhi bhi sunoge geet mere
sang sang tum bhi gungunaaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge
haan tum mujhe yoon

(beeti baaton ka kuchh khayaal karo
kuchh to bolo kuchh hum se baat karo) (2)
raaz-e-dil main tumhe bataa doongi
main tumhaari hoon maan jaaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge
haan tum mujhe yoon

(meri khaamoshiyon ko samjho tum
zindagi yaad mein guzaari hai) (2)
main miti hoon tumhaari chaahat mein
aur kitna mujhe mitaaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge
haan tum mujhe yoon

(dil hi dil mein tum hi se pyaar kiya
apne jeevan ko bhi nisaar kiya) (2)
kaun tadapaa tumhaari raahon mein
jab yeh sochoge jaan jaaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge
jab kabhi bhi sunoge geet mere
sang sang tum bhi gungunaaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge
haan tum mujhe yoon


Film: Pagla Kahin Ka (1970)
Singer: Mohammed Rafi (solo), Lata Mangeshkar (solo)
Music Director: Shankar Jaikishen
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Picturized on: Shammi Kapoor, Asha Parekh, Helen

Male version:


Female version:

Tuesday, December 22, 2009

Jingle Bells... Aao Tumhe Chaand Pe Le Jaaye...

Merry Xmas everyone! Found just a perfect song... it's really a sweet one.


LM: (jingle bells jingle bells
jingle all the way
santa claus is coming along
riding on a sleigh)
la la la...
la la la...
la la la la la...

Girl: yeh santa claus ka ghar kahan hai
AP: chand pe
Girl: hume bhi wahan le chaliye na
AP: achha?

LM: (aao tumhe chaand pe le jaaye
pyaar bhare sapne sajhaaye
chhota sa bangla banaaye
ek nayi duniya basaaye
ho ho) (2)
aao tumhe chaand pe le jaaye

pyaar ki hai duniya door aasmaan pe
mil ke na bichhade koi wahaan pe
aisi bhi ek dagar hai
aisa bhi ek nagar hai (here I am reminded of ek pyaar ka naghma hai)
ho ho ho
aao tumhe chaand pe le jaaye
pyaar bhare sapne sajhaaye
chhota sa bangla banaaye
ek nayi duniya basaaye
ho ho
aao tumhe chaand pe le jaaye

gham jahaan soye aur khushi jaage
aaj ki hai manzil taaron se aage
dil wahaan rote nahin hai
aansoo to hote nahin hai
ho ho ho
aao tumhe chaand pe le jaaye
pyaar bhare sapne sajhaaye
chhota sa bangla banaaye
ek nayi duniya basaaye


Film: Zakhmi (1975)
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: Bappi Lahiri
Lyrics: Gauhar Kanpuri
Picturized on: Asha Parekh, Sunil Dutt, ?


Thursday, December 17, 2009

Tere Paas Aa Ke Mera Waqt Guzar Jaata Hai

Mala Sinha, the gorgeous damsel and the He-man of Hindi cinema come together once again for this one. This film had some of the most beautiful songs and you can see why. My favorite ones are "aap ko pyaar chhupaane ki buri aadat hai" and this one.

And I just realized we are one week away from Rafi sahab's 85th birthday... May God bless him wherever he is with peace and bliss.

Enjoy this beautiful melody by the most hit pair of singers in HFM.

M: tere paas aa ke mera waqt guzar jaata hai (2)
do ghadi ke liye ghum jaane kidhar jaata hai

F: jab kabhi door se tu mujhko nazar aata hai
pyaar hans kar meri aankhon me sanwar jaata hai
Both: tere paas aa ke mera waqt guzar jaata hai

F: tu wohi hai jisse is dil ne sadaayen dee hai (2)
tu wohi hai jise nazron ne duaayein dee hai
tu wohi hai ke jo dil le ke mukar jaata hai

F: do ghadi ke liye ghum jaane kidhar jaata hai
Both: tere paas aa ke mera waqt guzar jaata hai

M: jaam itne teri masti bhari aankhon se piye... haan
jaam itne teri masti bhari aankhon se piye
bekhudi mein tujhe sajde meri nazron ne kiye
tere jalwon mein khuda mujhko nazar aata hai

F: pyaar hans ke meri aankhon me sanwar jaata hai
Both: tere paas aa ke mera waqt guzar jaata hai

F: teri yaad aate hi ghabra ke chali aati hoon (2)
main har ek qaid ko thukra ke chali aati hoon
main nahin aati mujhe pyaar idhar laata hai
pyaar hans kar meri aankhon me sanwar jaata hai

M: do ghadi ke liye ghum jaane kidhar jaata hai
Both: tere paas aa ke mera waqt guzar jaata hai


Film: Neela Akash (1965)
Singers: Asha Bhosle, Mohd. Rafi
Music Director: Madan Mohan
Lyrics: Raja Mehdi Ali Khan
Picturized on: Mala Sinha, Dharmendra

Good quality song: http://www.youtube.com/watch?v=8ini-zbxVfI

Thursday, December 10, 2009

Waho Waho Gobind Singh Aape Gur Chela

Today, while listening to Bay Area Third Eye, I got to listen to this shabad (I think that's what it's called) and I completely got addicted to it. It's very pleasant to listen to and makes one feel at peace. Enjoy!

Jaane Woh Kaise Log The...

The first time I had heard this song was when I was a kid. Mom used to hum these classics so often then that I just thought that these were actually songs of hers and not movie songs. Later on when I learnt what movies were, I realized these were actually immortal songs made by some crazily creative folks. Reading about it and listening to it on Anaamica's blog made me realize once again what a beautiful song it actually is. I just had to post it. Mindblowing lyrics!


jaane woh kaise log the jinke pyaar ko pyaar milaa
humne to jab kaliyaan maangi kaanton kaa haar milaa
jaane woh kaise log the jinke pyaar ko pyaar milaa

khushiyon ki manzil dhoondhi to gham ki gard mili (2)
chaahat ke naghame chaahe to aanhen sard mili
dil ke bojh ko dhundhalaa kar gayaa jo ghamkhaar milaa
humne to jab kaliyaan maangi kaanton kaa haar milaa
jaane woh kaise log the jinke pyaar ko pyaar milaa

bichhad gayaa (2)
bichhad gayaa har saathi de kar pal do pal kaa saath
kis ko fursat hai jo thaame deewaanon kaa haath
hum ko apnaa saayaa tak aksar bezaar milaa
humne to jab kaliyaan maangi kaanton kaa haar milaa
jaane woh kaise log the jinke pyaar ko pyaar milaa

isko hi jeenaa kehte hai to yoon hi jee lenge (2)
uff na karenge lab see lenge aansoo pee lenge
gham se ab ghabaraanaa kaisaa gham sau baar milaa
humne to jab kaliyaan maangi kaanton kaa haar milaa
jaane woh kaise log the jinke pyaar ko pyaar milaa


Film: Pyaasa (1957)
Singer: Hemant Kumar
Music Director: S. D. Burman
Lyrics: Sahir Ludhiyanvi
Picturized on: Guru Dutt, Mala Sinha, Rehman


Thursday, December 3, 2009

Aage Bhi Jaane Na Tu...

(aage bhi jaane na tu peechhe bhi jaane na tu
jo bhi hai bas yehi ek pal hai)(2)
aage bhi jaane na tu

anjaane saayo ka raahon mein dera hai
andekhi baahon ne hum sab ko chheda hai
yeh pal ujaala hai baaki andhera hai
yeh pal ganwaana na yeh pal hi tera hai
jeene waale soch le yehi waqt hai kar le poori aarzoo
aage bhi jaane na tu peechhe bhi jaane na tu
jo bhi hai bas yehi ek pal hai

is pal ke jalwo ne mehfil sanvaari hai
is pal ki garmi ne dhadkan ukhaadi hai
is pal ke hone se duniya hamaari hai
yeh pal jo dekho to sadiyon pe bhaari hai
jeene waale soch le yehi waqt hai kar le poori aarzoo
aage bhi jaane na tu peechhe bhi jaane na tu
jo bhi hai bas yehi ek pal hai
aage bhi jaane na tu

la la la... la la la la la...
la la la... la la la la la...
la la la... la la... la la la... la la la la la...

is pal ke saaye mein apna thikana hai
is pal ke aage ki har shay fasaana kai
kal kisne dekha hai kal kisne janaa hai
is pal se paayega jo tujko paanaa hai
jeene waale soch le yehi waqt hai kar le poori aarzoo
aage bhi jaane na tu peechhe bhi jaane na tu
jo bhi hai bas yehi ek pal hai
aage bhi jaane na tu


Film: Waqt (1965)
Singer: Asha Bhosle
Music: Ravi Shankar
Lyrics: Sahir Ludhiyanvi
Picturized on: Sadhana, Raj Kumar, Sunil Dutt, Shashi Kapoor, Sharmila Tagore, Rehman, Others