Thursday, December 3, 2009

Aage Bhi Jaane Na Tu...

(aage bhi jaane na tu peechhe bhi jaane na tu
jo bhi hai bas yehi ek pal hai)(2)
aage bhi jaane na tu

anjaane saayo ka raahon mein dera hai
andekhi baahon ne hum sab ko chheda hai
yeh pal ujaala hai baaki andhera hai
yeh pal ganwaana na yeh pal hi tera hai
jeene waale soch le yehi waqt hai kar le poori aarzoo
aage bhi jaane na tu peechhe bhi jaane na tu
jo bhi hai bas yehi ek pal hai

is pal ke jalwo ne mehfil sanvaari hai
is pal ki garmi ne dhadkan ukhaadi hai
is pal ke hone se duniya hamaari hai
yeh pal jo dekho to sadiyon pe bhaari hai
jeene waale soch le yehi waqt hai kar le poori aarzoo
aage bhi jaane na tu peechhe bhi jaane na tu
jo bhi hai bas yehi ek pal hai
aage bhi jaane na tu

la la la... la la la la la...
la la la... la la la la la...
la la la... la la... la la la... la la la la la...

is pal ke saaye mein apna thikana hai
is pal ke aage ki har shay fasaana kai
kal kisne dekha hai kal kisne janaa hai
is pal se paayega jo tujko paanaa hai
jeene waale soch le yehi waqt hai kar le poori aarzoo
aage bhi jaane na tu peechhe bhi jaane na tu
jo bhi hai bas yehi ek pal hai
aage bhi jaane na tu


Film: Waqt (1965)
Singer: Asha Bhosle
Music: Ravi Shankar
Lyrics: Sahir Ludhiyanvi
Picturized on: Sadhana, Raj Kumar, Sunil Dutt, Shashi Kapoor, Sharmila Tagore, Rehman, Others


No comments: