It is Rafi sahab's 85th birthday tomorrow. This song of his in his memory... wish he was still with us.
May he find peace wherever he is.
The best singer of HFM!
Male version:
tum mujhe yoon bhula na paaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge
jab kabhi bhi sunoge geet mere
sang sang tum bhi gungunaaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge
ho tum mujhe yoon
(woh bahaaren woh chaandani raaten
hum ne kee thi jo pyaar ki baaten) (2)
un nazaaron ki yaad aayegi
jab khayaalon mein mujhko laaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge
ho tum mujhe yoon
(mere haathon mein teraa chehra tha
jaise koyi gulaab hota hai) (2)
aur sahaara liya tha baahon ka
woh samaa kis taraah bhulaaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge
ho tum mujhe yoon
(mujhko dekhe bina qaraar na tha
ek aisa bhi daur guzraa hai) (2)
jhooth maano to puchh lo dil se
main kahoonga to rooth jaaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge
Female version:
tum mujhe yoon bhula na paaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge
jab kabhi bhi sunoge geet mere
sang sang tum bhi gungunaaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge
haan tum mujhe yoon
(beeti baaton ka kuchh khayaal karo
kuchh to bolo kuchh hum se baat karo) (2)
raaz-e-dil main tumhe bataa doongi
main tumhaari hoon maan jaaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge
haan tum mujhe yoon
(meri khaamoshiyon ko samjho tum
zindagi yaad mein guzaari hai) (2)
main miti hoon tumhaari chaahat mein
aur kitna mujhe mitaaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge
haan tum mujhe yoon
(dil hi dil mein tum hi se pyaar kiya
apne jeevan ko bhi nisaar kiya) (2)
kaun tadapaa tumhaari raahon mein
jab yeh sochoge jaan jaaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge
jab kabhi bhi sunoge geet mere
sang sang tum bhi gungunaaoge
haan tum mujhe yoon bhula na paaoge
haan tum mujhe yoon
Film: Pagla Kahin Ka (1970)
Singer: Mohammed Rafi (solo), Lata Mangeshkar (solo)
Music Director: Shankar Jaikishen
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Picturized on: Shammi Kapoor, Asha Parekh, Helen
Male version:
Female version:
No comments:
Post a Comment