Sunday, December 11, 2011

Filmein shilmein chalti thi... woh raatein ab kahaan gayi...


Best song of film Desi Boyz! That's how I like to describe it. I just got a chance to watch the movie last night and loved it. This was the song that stuck and I kept humming it while it was playing in the background for those 5-10 mins. Feel-good song of the feel-good movie. That's all I got to say. It takes me back to childhood as the lyrics say and then stay there. Describes how life used to be simpler because there was less. Less of everything. Simple. The best! As is the song. :)

PS. While searching for the lyricist, I just realized that it's all by Shahvaar Ali Khan. What a talented person! The song reminds me of "woh kaagaz ki kashti", and "give me some sunshine".


(filmein shilmein chalti thi hum gaane shaane gaate the
woh raatein ab kahaan gayi jab pal bhar mein so jaate the) (2)

fail fool ho kar hum maare shaare khaate the (2)
jeb bhi khaali hoti thi phir kahaan se himmat laate the
woh raatein ab kahaan gayi jab pal bhar mein so jaate the

filmein shilmein chalti thi hum gaane shaane gaate the

(june mein tab bhi garmi thi par hum yoon kam lagte the
gaadi shaadi kab hoti thi par sadke sab apni thi) (2)

gareeb jab ek ladke pe ameer ladki marti thi
aur yeh duniya apne liye waqt nikala karti thi
waqt nikala karti thi
botal shotal peeke hum kaise khush ho jaate the
woh raatein ab kahaan gayi jab pal bhar mein so jaate the

filmein shilmein chalti thi hum gaane shaane gaate the
woh raatein ab kahaan gayi jab pal bhar mein so jaate the

(maacho? kitna achha tha dushman bhi tab saccha tha
haar ke jab hum girte the to hume uthane padta tha) (2)

dost bhi koyi kam na tha tum mein bhi tum na tha
woh umar kuch aisi thi ke hum se koyi kam na tha
hum se koyi kam na tha
tedhe medhe log bhi kitne seedhe saade hote the
woh raatein ab kahaan gayi jab pal bhar mein so jaate the

filmein shilmein chalti thi hum gaane shaane gaate the
woh raatein ab kahaan gayi jab pal bhar mein so jaate the

fail fool ho kar hum maare shaare khaate the (2)
jeb bhi khaali hoti thi phir kahaan se himmat laate the
woh raatein ab kahaan gayi jab pal bhar mein so jaate the

(filmein shilmein chalti thi hum gaane shaane gaate the
woh raatein ab kahaan gayi jab pal bhar mein so jaate the) (3)

Film: Desi Boyz (2011)
Singer: Shahvaar Ali Khan
Composition: Shahvaar Ali Khan
Music Director: Pritam
Lyrics: Shahvaar Ali Khan
Picturized on: Akshay Kumar, John Abraham, Deepika Padukone


Audio only:

Sunday, December 4, 2011

Tum hi hamaari ho manzil my love

Some songs never get old. This one is an example of that. I don't remember listening to the actual song with so much enthusiasm as I remember listening to my elder cousin brother singing it. And also, bin tere sanam was more famous than this so I sort of just bypassed this when it came to listening to the actual words and music of this one. Today, big brother shared the new picturized version of it and it was an instant love! The song reminds me of my other favorite songs from the early 90s, like jaati hoon main, kaahe sataaye kaahe ko rulaaye, and other songs of Jaan Tere Naam. I'm totally going crazy for this one now. Love Majrooh sahab's penned words and Jatin-Lalit's musical magic. I think even the singers do a good job. Listening to both the versions of the song made me realize how much technology and audio editing process have changed in last 20 years. Amazing!


M: tum hi hamaari ho manzil my love (2)
yeh aawaaz deta dil my love
tum hi hamaari ho manzil my love

aisa na jaano hum ko achaanak
tum pe yeh pyaar aa gaya
ho beeti ruto ka yeh rang hai jo
ban ke bahaar chhaa gaya
ho tum ko dekha pyaar aa gaya

tum hi hamaari ho manzil my love
yeh aawaaz deta dil my love
tum hi hamaari ho manzil my love

Chorus: aa aa aa.. aa aa aa...

F: chaaha to chaaha hum to meri jaan
waarenge tum pe jiya
ho aage hume kya kaahe ko soche
koyi bhi ho tum piya
ho tum sang jeena ho saathiya

tum hi hamaari ho manzil my love
yeh aawaaz deta dil my love
tum hi hamaari ho manzil my love

M: dekho humaari raahon mein jaanam
kya kya diye jal gaye
ho dil se nazar tak
gham ke andhere saaye jo the tal gaye
ho raste rangon mein dhal gaye

F: tum hi hamaari ho manzil my love
M: tum hi hamaari ho manzil my love
yeh aawaaz deta dil my love
Both: tum hi hamaari ho manzil my love


Film: Yaara Dildara (1991)
Singers: Udit Narayan, Anuradha Paudwal
Music Director: Jatin-Lalit
Lyrics: Majrooh Sultanpuri
Picturized on: Asif Sheikh, Ruchika Pandey

Original:


New edited version with Hrithik Roshan and Priyanka Chopra: