Wednesday, May 16, 2012

Phir miloge kabhi is baat ka wada kar lo

For some reason this one reminds me of zindagi bhar nahin bhoolegi. I think it's the singer, slow music and similar instruments playing in the background that cause this effect.

Absolutely love the way Rafi sahab sings the word "mulaqaat" in this one. Funnily enough, the song came up on youtube as I was listening to "wada na tod" of Lataji and I got to listen to it for the first time. So glad I clicked on it. :) Sharmila looks so gorgeous.


M: phir miloge kabhi is baat ka wada kar lo (2)
(hum se ek aur mulaqaat ka wada kar lo
phir miloge kabhi is baat ka wada kar lo) (2)

[love the music here, wondering what other instruments play here other than sitar and violin]

(dil ki har baat adhoori hai adhoori hai abhi
apni ek aur mulaqaat zaroori hai abhi) (2)
chand lamhon ke liye saath ka wada kar lo
hum se ek aur mulaqaat ka wada kar lo
phir miloge kabhi is baat ka wada kar lo

F: aap kyon dil ka haaseen raaz mujhe dete hai
kyon nayaa naghmaa nayaa saaz mujhe dete hai
main to hoon doobi hui pyaar ke toofaanon mein
aap saahil se hi aawaaz mujhe dete hai
kal bhi honge yehi jazbaat yeh wada kar lo

M: (hum se ek aur mulaqaat ka wada kar lo
phir miloge kabhi is baat ka wada kar lo) (2)


Film: Yeh Raat Phir Na Aayegi (1966)
Singers: Mohd. Rafi, Asha Bhosle
Lyrics: S. H. Bihari
Music Director: O. P. Nayyar
Picturized on: Biswajeet Chatterjee, Sharmila Tagore.