I just discovered the duet of this song today while searching for the video of the male version. Can't believe I hadn't listened to the second version of this song.. HFM has so many goodies that I think one life time isn't enough to enjoy them all. ;) In any case, I am happy that I got to watch this song today too. Madhubala looks adorable and Bharat Bhushan quite handsome (that's given the fact that I've never found him handsome until I watched this song, yup, not even in Jahan Ara). Any how, music is beautiful and actually makes us feel we are standing at the windowsill watching the raindrops fall on our face. Lyrics are also quite romantic and very meaningful. Love this one!
F: zindagi bhar nahin bhoolegi woh barsaat ki raat
ek anjaan musafir se mulaqaat ki raat
zindagi bhar nahin bhoolegi
haaye jis raat mere dil ne dhadakna seekha
shauq jazbaat ne seene mein bhadakna seekha
meri taqdeer se nikali wohi (2) sadmaat ki raat
zindagi bhar nahin bhoolegi woh barsaat ki raat
zindagi bhar nahin bhoolegi
dil ne jab pysar ke rangeen fasaane chhede
aankhon aankhon mein wafaaon ke taraane chhede
sog mein doob gaye aaj woh (2) naghmaat ki raat
zindagi bhar nahin bhoolegi
M: roothne waali
roothne waali meri baat se mayoos na ho
behke behke se khayaalat se mayoos na ho
khatm hogi na kabhi tere mere (2) saath ki raat
zindagi bhar nahin bhoolegi woh barsaat ki raat
ek anjaan haseena se mulaqaat ki raat
Both: zindagi bhar nahin bhoolegi
~~~~~~~~~~*~~~~~~~~~~*~~~~~~~~~~
M: zindagi bhar nahin bhoolegi woh barsaat ki raat
ek anjaan haseena se mulaqaat ki raat
zindagi bhar nahin bhoolegi
haaye woh reshmi zulfon se barasta paani (2)
phool se gaalon pe rukne ko tarasta paani
dil mein toofan uthaate hue
dil mein toofan uthaate hue jazbaat ki raat
zindagi bhar nahin bhoolegi
dar ke bijali se achaanak woh lipatna uska
aur phir sharm se balkha ke simatna uska
kabhi dekhi na suni aisi ho
kabhi dekhi na suni aisi tilismaat ki raat
zindagi bhar nahin bhoolegi
surkh aanchal ko dabaa kar jo nichoda usne (2)
dil pe jalta hua ek teer sa chhoda usne
aag paani mein lagaate hue (2) haalaat ki raat
zindagi bhar nahin bhoolegi
mere naghmon mein jo basti hai woh tasveer thi woh
naujawaani ke haseen khwaab ki taabeer thi woh
aasmaanon se utar aayi ho
aasmaanon se utar aayi thi jo raat ki raat
zindagi bhar nahin bhoolegi woh barsaat ki raat
zindagi bhar nahin bhoolegi
Film: Barsaat Ki Raat (1960)
Singers: Mohammed Rafi & Lata Mangeshkar
Music Director: Roshan Lal
Lyrics: Sahir Ludhiyanvi
Picturized on: Bharat Bhushan, Madhubala
Male version:
Female version: http://in.youtube.com/watch?v=b_ngciBoBnM
2 comments:
I really need to see this film. I love all the songs in it...
Memsaab, I too am yet to watch the movie. :) But like you said I too adore the song. I think it's very beautiful and Madhubala is ridiculously pretty.
Post a Comment