Thursday, December 10, 2009

Jaane Woh Kaise Log The...

The first time I had heard this song was when I was a kid. Mom used to hum these classics so often then that I just thought that these were actually songs of hers and not movie songs. Later on when I learnt what movies were, I realized these were actually immortal songs made by some crazily creative folks. Reading about it and listening to it on Anaamica's blog made me realize once again what a beautiful song it actually is. I just had to post it. Mindblowing lyrics!


jaane woh kaise log the jinke pyaar ko pyaar milaa
humne to jab kaliyaan maangi kaanton kaa haar milaa
jaane woh kaise log the jinke pyaar ko pyaar milaa

khushiyon ki manzil dhoondhi to gham ki gard mili (2)
chaahat ke naghame chaahe to aanhen sard mili
dil ke bojh ko dhundhalaa kar gayaa jo ghamkhaar milaa
humne to jab kaliyaan maangi kaanton kaa haar milaa
jaane woh kaise log the jinke pyaar ko pyaar milaa

bichhad gayaa (2)
bichhad gayaa har saathi de kar pal do pal kaa saath
kis ko fursat hai jo thaame deewaanon kaa haath
hum ko apnaa saayaa tak aksar bezaar milaa
humne to jab kaliyaan maangi kaanton kaa haar milaa
jaane woh kaise log the jinke pyaar ko pyaar milaa

isko hi jeenaa kehte hai to yoon hi jee lenge (2)
uff na karenge lab see lenge aansoo pee lenge
gham se ab ghabaraanaa kaisaa gham sau baar milaa
humne to jab kaliyaan maangi kaanton kaa haar milaa
jaane woh kaise log the jinke pyaar ko pyaar milaa


Film: Pyaasa (1957)
Singer: Hemant Kumar
Music Director: S. D. Burman
Lyrics: Sahir Ludhiyanvi
Picturized on: Guru Dutt, Mala Sinha, Rehman


No comments: