Mala Sinha, the gorgeous damsel and the He-man of Hindi cinema come together once again for this one. This film had some of the most beautiful songs and you can see why. My favorite ones are "aap ko pyaar chhupaane ki buri aadat hai" and this one.
And I just realized we are one week away from Rafi sahab's 85th birthday... May God bless him wherever he is with peace and bliss.
Enjoy this beautiful melody by the most hit pair of singers in HFM.
M: tere paas aa ke mera waqt guzar jaata hai (2)
do ghadi ke liye ghum jaane kidhar jaata hai
F: jab kabhi door se tu mujhko nazar aata hai
pyaar hans kar meri aankhon me sanwar jaata hai
Both: tere paas aa ke mera waqt guzar jaata hai
F: tu wohi hai jisse is dil ne sadaayen dee hai (2)
tu wohi hai jise nazron ne duaayein dee hai
tu wohi hai ke jo dil le ke mukar jaata hai
F: do ghadi ke liye ghum jaane kidhar jaata hai
Both: tere paas aa ke mera waqt guzar jaata hai
M: jaam itne teri masti bhari aankhon se piye... haan
jaam itne teri masti bhari aankhon se piye
bekhudi mein tujhe sajde meri nazron ne kiye
tere jalwon mein khuda mujhko nazar aata hai
F: pyaar hans ke meri aankhon me sanwar jaata hai
Both: tere paas aa ke mera waqt guzar jaata hai
F: teri yaad aate hi ghabra ke chali aati hoon (2)
main har ek qaid ko thukra ke chali aati hoon
main nahin aati mujhe pyaar idhar laata hai
pyaar hans kar meri aankhon me sanwar jaata hai
M: do ghadi ke liye ghum jaane kidhar jaata hai
Both: tere paas aa ke mera waqt guzar jaata hai
Film: Neela Akash (1965)
Singers: Asha Bhosle, Mohd. Rafi
Music Director: Madan Mohan
Lyrics: Raja Mehdi Ali Khan
Picturized on: Mala Sinha, Dharmendra
Good quality song: http://www.youtube.com/watch?v=8ini-zbxVfI
2 comments:
Loveeeeeeeeee the song! :)
Wonderful, Neha! Glad to know. :)
Post a Comment