The best things in this song are Rafisahab's voice, the orchestra that makes the hair on your body stand up and the lyrics - boy! these words hurt more than any weapon out there.
And this is why they call it the silver screen; all the leading actors look so great in this one!
patthar ke sanam tujhe hum ne mohabbat ka khuda jaana (2)
badi bhool hui are hum ne yeh kya samjha yeh kya jaana
patthar ke sanam
chehra tera dil mein liye chalte rahe angaaron pe
tu ho kahin (2) sajde kiye hum ne tere rukhsaaron pe
hum sa na ho koi deewana
patthar ke sanam tujhe hum ne mohabbat ka khuda jaana
patthar ke sanam
socha tha yeh badh jaayengi tanhaaiyaan jab raaton ki
rasta hume (2) dikhlaayegi shaam-e-wafa in haathon ki
thokar lagi tab pehchana
patthar ke sanam tujhe hum ne mohabbat ka khuda jaana
patthar ke sanam
aye kaash ke hoti khabar toone kise thukraya hai
sheesha nahin (2) saagar nahin mandir sa ek dil dhaaya hai
sau aasmaan hai veeraana
patthar ke sanam tujhe hum ne mohabbat ka khuda jaana
badi bhool hui are hum ne yeh kya samjha yeh kya jaana
patthar ke sanam
Film: Patthar Ke Sanam (1967)
Singer: Mohd. Rafi
Music Director: Laxmikant Pyarelal
Lyrics: Majrooh Sultanpuri
No comments:
Post a Comment