Tuesday, May 13, 2008

Teer-e-nazar Dekhenge

After listening to "chalte chalte" on Neha's blog, I felt like listening to more of Pakeezah songs.

I really like this one for the dance, the lyrics, the music (specially tabla) and of course, for the last stanza of the song starting off totally differently than the other ones. Not to forget the two classy actors. Veena, too, looks so charming.


[awesome tabla play here and the sound of ghunghroo is beautiful!]

(aaj hum apni duaao ka asar dekhenge
teer-e-nazar dekhenge zakhm-e-jigar dekhenge
teer-e-nazar dekhenge) (2)

ho aap to aankh milaate hue sharmaate hai (2)
aap to dil ke dhadakne se bhi dar jaate hai
phir bhi yeh zid hai ke hum zakhm-e-jigar dekhenge
teer-e-nazar dekhenge zakhm-e-jigar dekhenge
teer-e-nazar dekhenge

teer-e-nazar dekhenge zakhm-e-jigar dekhenge (2)

ho pyaar karna dil-e-betaab bura hota hai (2)
sunte aaye hai ke yeh khwaab bura hota hai
aaj is khwaab ki taabeer magar dekhenge
teer-e-nazar dekhenge zakhm-e-jigar dekhenge
teer-e-nazar dekhenge

teer-e-nazar dekhenge zakhm-e-jigar dekhenge (2)

jaan leva hai mohabbat ka samaa aaj ki raat
shamma ho jaayegi jal jal ke dhuaan aaj ki raat
aaj ki raat bachenge to saher dekhenge
aaj ki raat
aaj ki raat bachenge to saher dekhenge

teer-e-nazar dekhenge zakhm-e-jigar dekhenge (2)
aaj hum apni duaao ka asar dekhenge
teer-e-nazar...


Film: Pakeezah (1971)
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: Ghulam Mohammed
Lyricist: Kaif Bhopali


This extended clip includes the dialogs before the song as well.

No comments: