Thursday, September 25, 2014

Hai chaand sitaaron mein...

What a marvelous Bhimpalasi raag ghazal! Melodious isn't even the word.


hai chaand sitaaron mein chamak tere badan ki (2)
har phool se aati hai mehak tere badan ki
hai chaand sitaaron mein chamak tere badan ki

lagta hai khuda ne tujhe haathon se banaaya (2)
hai taaj mahal mein bhi jhalak tere badan ki
hai chaand sitaaron mein chamak tere badan ki

barsaat ke mausam mein tera bheegate rehna (2)
hoti hai mere dil mein kasak tere badan ki
hai chaand sitaaron mein chamak tere badan ki

gaate hue ithalaake guzarna tera humdum
hai taaron mein is dil ke khanak tere badan ki
hai chaand sitaaron mein chamak tere badan ki

har phool se aati hai mehak tere badan ki
hai chaand sitaaron mein chamak tere badan ki

Album: Sarmaya
Singers: Ahmed Hussain, Muhammad Hussain
Music Director: Ahmed Hussain, Muhammad Hussain
Lyrics: Zubair Rizvi

1 comment:

Porcupyn said...

Here via Sayesha's blog. She does not allow anonymous comments. You do. So ... for all your lyrics wishes, check out our RMIM group on FB (I hope you guys are not already on there). Sayesha and you will find who will help you dissect song lyrics to death.