Sunday, March 14, 2010

Hai isi mein pyaar ki aabroo...

Some songs never need praising... this one falls under that category. One of my favorite haunting melodies.

This set of artists have always given a hit melodies, in fact just evergreen songs...

I love how little the camera moves and how it captures the scenes.


hai isi mein pyaar ki aabroo
woh jafaa kare main wafaa karoon
jo wafaa bhi kaam na aa sake
to wohi kahe ke main kya karoon
hai isi mein pyaar ki aabroo

(mujhe gham bhi unka azeez hai
ke unhi ki di hui cheez hai) (2)
ke unhi ki di hui cheez hai
yehi gham hai ab meri zindagi
ise kaise dil se judaa karoon
hai isi mein pyaar ki aabroo

(jo na ban sake main woh baat hoon
jo na khatm ho main woh raat hoon) (2)
jo na khatm ho main woh raat hoon
yeh likhaa hai mere naseeb mein
yoon hi shammaa ban ke jalaa karoon
hai isi mein pyaar ki aabroo

(na kisi ke dil ki hoon aarzoo
na kisi nazar ki hoon justajoo) (2)
na kisi nazar ki hoon justajoo
main woh phool hoon jo udaas hoon
na bahaar aaye to kyaa karoon

hai isi mein pyaar ki aabroo
woh jafaa kare main wafaa karoon
jo wafaa bhi kaam na aa sake
to wohi kahe ke main kya karoon
hai isi mein pyaar ki aabroo

Film: Anpadh (1962)
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: Madan Mohan
Lyrics: Raja Mehdi Ali Khan
Picturized on: Mala Sinha, Dharmendra

3 comments:

Ava said...

One of lata's greatest ever.

Anonymous said...

more than the song and Lata's voice, I love the lyrics of this song... they have so much of pain, it makes ur heart wrench!!

Kanan said...

Avdi, thank you. It's so classy. Way above than so many other songs.

Neha, so touchy it just pierses the heart. *sigh*