Thursday, March 18, 2010

Tumhaare bin guzaare hai

Discovered this beautiful duet while I was listening to some oldies. This song is definitely based on a raag but I don't know which one. I'll have to look up my music notes for that but until then, I'm hooked to this one. What a lovely song... absolutely love the playfulness in it and the voices of the singers. The song makes me want to watch the movie. Never heard of it until today. Shankar Jaikishan's music is entirely lovely. I like Vidya Sinha in this one.


F: tumhaare bin guzaare hai kayi din ab na guzrenge (2)
jo dil mein aa gayi hai aaj hum woh kar hi guzrenge
M: khabar kyaa thi ke apne bhi sitaare aise bigadenge (2)
ke jo pooja ke kaabil hai wohi yoon rang badlenge
F: tumhaare bin guzaare hai kayi din ab na guzrenge

kayi din bad phir yeh saaz yeh singaar paaya hai
nahin maloom tha ke aap yoon inkaar kar denge
M: tumhe kaise bataaye kya humaare saath guzari hai
tumhaare khwaab tootenge agar sach baat keh denge
F: tumhaare bin guzaare hai kayi din ab na guzrenge
jo dil mein aa gayi hai aaj hum woh kar hi guzrenge
tumhaare bin guzaare hai kayi din ab na guzrenge

tumhaari ek na maanenge karenge aaj man-maani
bahut tarsaaya hai tumne nahin ab aur tarsenge
M: sataaya to nahin karte kabhi kismat ke maaro ko
kisi ki jaan jaayegi kisi ke armaan nikalenge
F: tumhaare bin guzaare hai kayi din ab na guzrenge
jo dil mein aa gayi hai aaj hum woh kar hi guzrenge
tumhaare bin guzaare hai kayi din ab na guzrenge
aa aa aa.. aa aa.. aa aa aa aa...

manaaya tum ko kitni baar lekin tum nahin maane
to ab majboor ho kar hum sharaarat par bhi utrenge
M: haqiqat kyaa hai yeh pehle bataa dete to acchha thaa
khud apne jaal se hi hum na jaane kaise niklenge
F: tumhaare bin guzaare hai kayi din ab na guzrenge
jo dil mein aa gayi hai aaj hum woh kar hi guzrenge
tumhaare bin guzaare hai kayi din ab na guzrenge


Film: Atmaram (1979)
Singers: Mohd. Rafi, Lata Mangeshkar
Music Director: Shankar Jaikishan
Lyrics: Vishveshwar Sharma
Picturized on: Shatrughan Sinha, Vidya Sinha


No comments: