Monday, April 28, 2008

Phir Aane Laga Yaad

M: (phir aane laga yaad wohi pyaar ka aalam
inkaar kaa aalam kabhi iqraar kaa aalam) (2)
F: pyaar ka aalam

M: woh pehli mulaaqaat mein (3)
rangeen ishaare
phir baaton hi baaton mein woh taqraar ka aalam
phir aane laga yaad wohi pyaar ka aalam
F: pyaar ka aalam

M: woh jhoomta balkhaataa (3)
hua sarv-e-kharamaan?
main kaise bhoola doon teri raftaar ka aalam
phir aane laga yaad wohi pyaar ka aalam
F: pyaar ka aalam

M: kab aaye the woh kab gaye (3)
kuch yaad nahin hai
aankhon mein basaa hai wohi deedaar ka aalam
phir aane laga yaad wohi pyaar ka aalam
inkaar kaa aalam kabhi iqraar kaa aalam
F: pyaar ka aalam
M: pyaar ka aalam
F: pyaar ka aalam
M: haaye pyaar ka aalam


Film: Yeh Dil Kisko Doon (1963)
Singer(s): Mohd. Rafi, Usha Khanna
Music Director: Iqbal Qureshi
Lyrics: Qamar Jalalabadi
Picturized on: Shashi Kapoor, Ragini


No comments: