Friday, April 25, 2008

Main Tere Pyaar Ka Beemaar

Usually people either forward these songs or take a bathroom break during these songs, but I honestly love watching them and enjoy them. :D

Mannada does an awesome job and Mehmood's acting is priceless. It amazes me when song writers write the songs to match the movie situations, like this one. SJ music and the classical touch to the song make me want to listen to the song over and over again.


main tere pyaar ka beemaar hoon kya arz karoon (2)
tera aashiq hoon gunehgaar hoon kya arz karoon
main tere pyaar ka beemaar hoon kya arz karoon

mujhko pehchaan lo main hoon tera rasiya jogi (2)
apne jogi pe inaayat ki nazar kab hogi
tera banda hoon (4)
khatavar hoon kya arz karoon
main tere pyaar ka beemaar hoon kya arz karoon

le ek armaan meri jaan main aa pahoocha hoon (2)
teri khaatir to main japan bhi to aa pahooncha hoon
tera mitva hoon (4)
talabgaar hoon kya arz karoon
main tere pyaar ka beemaar hoon kya arz karoon

bin tere dil mera dooba hi chala jaata hai (2)
chahe badnaam sahi tera to kehlata hai
main to rusvaa (4)
are bazaar hoon kyaa arz karoon
main tere pyaar ka beemaar hoon kya arz karoon
tera aashiq hoon gunehgaar hoon kya arz karoon
main tere pyaar ka beemaar hoon kya arz karoon


Singer: Manna Dey
Music Director: Shankar Jaikishen
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Film: Love In Tokyo (1966)
Video: http://www.youtube.com/watch?v=yrNtFWXLNhY

No comments: