Sunday, March 29, 2009

Aise to na dekho...

I like very few songs of Dev Anand and this is one of them. Rafi sahab's voice can be the most playful and entice you. He's done a fantastic job in this one, I adore this one. Burmandada's music touches your heart, and Majrooh Sultanpuri's lyrics are penned so beautifully, they describe the feelings of how someone's eyes can intoxicate you.


aise to na dekho ke hum ko nasha ho jaaye
aise to na dekho
khubsoorat si koyi hum se khataa ho jaaye (2)
aise to na dekho

tum hume roko phir bhi hum naa ruke
tum kaho kaafir phir bhi aise jhuke
qadam-e-naaz pe ek sajdaa adaa ho jaaye
aise to na dekho

yoon na ho aankhen rahe kaajal ghole
badh ke bekhudi hanseen gesu khole
khul ke phir zulfen siyaah kaali balaa ho jaaye
aise to na dekho

hum to masti mein jaane kyaa kyaa kahe
lab-e-naazuk se aisa na ho tumhe
beqaraari kaa gilaa hum se sivaa ho jaaye

aise to na dekho ke hum ko nasha ho jaaye
khubsoorat si koyi hum se kataa ho jaaye
aise to na dekho...


Film: Teen Deviyan (1965)
Singer: Mohd. Rafi
Music Director: S.D. Burman
Lyrics: Majrooh Sultanpuri
Picturized on: Dev Anand, Nanda

No comments: