Thursday, March 19, 2009

Tumhe Dekhati Hoon

(tumhe dekhati hoon to lagtaa hai aise
ke jaise yugon se tumhe jaanti hoon) (2)
agar tum ho saagar
agar tum ho saagar main pyaasi nadi hoon
agar tum ho saawan main jalti kali hoon
piya tum ho saagar

mujhe meri neenden
mujhe meri neenden mera chain de do
mujhe mere sapnon ki ek rain de do na
yehi baat pehle
yehi baat pehle bhi tum se kahi thi
wohi baat phir aaj dohra rahi hoon
piya tum ho saagar

tumhe chhu ke pal mein bani dhool chandan (2)
tumhaari mahek se mahekane lage tan
mahekane lage tan
mere paas aao
mere paas aao gale se lagaao
piya aur tumse main kya chaahati hoon
tumhe dekhati hoon to lagtaa hai aise
ke jaise yugon se tumhe jaanti hoon
agar tum ho saagar

ho ho ho muraliyaa samajh kar
muraliyaa samajh kar mujhe tum uthaa lo
bas ek baar hothon se apne lagaa lo na
ek baar hothon se apne lagaa lo na
koyi soor to jaage
koyi soor to jaage meri dhadakano mein
ke main apni sargam se roothi hui hoon

tumhe dekhati hoon to lagtaa hai aise
ke jaise yugon se tumhe jaanti hoon
agar tum ho saagar
agar tum ho saagar main pyaasi nadi hoon
agar tum ho saawan main jalti kali hoon
piya tum ho saagar...


Film: Tumhare Liye (1968)
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: Jaidev
Lyrics: Naqsh Lyalpuri
Picturized on: Vidya Sinha, Sanjeev Kumar

Video:


Full audio:

No comments: