Sunday, March 15, 2009

Ek Haseen Shaam Ko

Discovered this number a couple of years back when I was browsing around on mohdrafi.com. What a fantastic song! Simply adore the lyrics and the tunes of the song along with my favorite singer, of course. Dharampaaji and Nutan make a fabulous on-screen pair!


ek haseen shaam ko dil mera kho gayaa
pehle apna hua karta tha ab kisi ka ho gayaa

muddaton se aarzoo thi zindagi mein koyi aaye
sooni sooni zindagi mein koyi shamma jhilmilaaye
woh jo aaye to roshan zamaana ho gayaa
ek haseen shaam ko dil mera kho gayaa
pehle apna hua karta tha ab kisi ka ho gayaa

mere dil ke caaravaan ko le chalaa hai aaj koyi
shabnami si jiski aankhen thodi jaagi thodi soyi
unko dekhaa to mausam suhaanaa ho gayaa
ek haseen shaam ko dil mera kho gayaa
pehle apna hua karta tha ab kisi ka ho gayaa


Film: Dulhan Ek Raat Ki (1966)
Singer: Mohd. Rafi
Music Director: Madan Mohan
Lyrics: Raja Mehdi Ali Khan
Picturised on: Dharmendra & Nutan


No comments: