This one is a favorite of Papu and I. We both adore this one as much as we love phir wohi shaam. I didn't know this one was a Madan Mohan creation until today...
Shubha Khote and Anoop Kumar look so cute together. Seems like the song is sung in a lighter mood than what the lyrics convey.
hum se aaya na gayaa tumse bhulaaya na gayaa (2)
faasla pyaar mein dono se mitaaya na gayaa
hum se aaya na gayaa tumse bhulaaya na gayaa
hum se aaya na gayaa
woh ghadi yaad hai jab tumse mulaaqaat hui (2)
ek ishaaraa huaa do haath badhe baat hui
dekhte dekhte din dhal gayaa aur raat hui
woh samaa aaj talak dil se bhulaaya na gayaa
hum se aaya na gayaa tumse bhulaaya na gayaa
hum se aaya na gayaa
kyaa khabar thi ki mile hai to bichhadne ke liye (2)
kismate apni banaayi hai bigadne ke liye (2)
pyaar ka baag lagaaya tha ujadane ke liye
is taraah ujadaa ke phir humse basaaya na gayaa
hum se aaya na gayaa tumse bhulaaya na gayaa
hum se aaya na gayaa
yaad reh jaati hai aur waqt guzar jaata hai (2)
phool khilta bhi hai aur khilke bikhar jaata hai
sab chale jaate hai tab dard-e-jigar reh jaata hai
daag jo toone diya dil se mitaaya na gayaa
hum se aaya na gayaa tumse bhulaaya na gayaa
faasla pyaar mein dono se mitaaya na gayaa
hum se aaya na gayaa tumse bhulaaya na gayaa
hum se aaya na gayaa
Film: Dekh Kabira Roya (1957)
Singer: Talat Mahmood
Music Director: Madan Mohan
Lyrics: Rajendra Krishan
Picturized on: Anoop Kumar, Shubha Khote
No comments:
Post a Comment