Monday, April 19, 2010

Koyi saagar dil ko behlaataa nahin...

Been listening to songs based on raag kalaavati and raag kalyaan. This one is a favorite! The lyrics are also very close to the heart.


koyi saagar dil ko behlaataa nahin (2)
bekhudi mein bhi qaraar aataa nahin
koyi saagar dil ko behlaataa nahin

main koyi patthar nahin insaan hoon (2)
kaise keh doon gham se ghabraataa nahin
koyi saagar dil ko behlaataa nahin
bekhudi mein bhi qaraar aataa nahin

kal to sab the caarvaan ke saath saath (2)
aaj koyi raah dikhlaataa nahin
koyi saagar dil ko behlaataa nahin
bekhudi mein bhi qaraar aataa nahin

zindagi ke aaine ko tod do (2)
is mein ab kuchh bhi nazar aataa nahin
koyi saagar dil ko behlaataa nahin
bekhudi mein bhi qaraar aataa nahin
koyi saagar dil ko behlaataa nahin


Film: Dil Diya Dard Liya (1966)
Singer: Mohammad Rafi
Music Director: Naushad
Lyrics: Shakeel Badayuni
Picturized on: Dilip Kumar, Waheeda Rehman
Raag: Kalaavati

No comments: