Sunday, April 18, 2010

Ibtadaa-e-ishq mein hum.. allaah jaane kyaa hogaa re..

One of the songs I grew up listening to never knowing a thing about music or movies. It's amazing how childhood memories stay with us... forever. :) Love love love this song. Now I know why, it's because it has been made my Hasrat Jaipuri, Shankar Jaikishan and Lata-Mukesh combo.
Hope you like it too.


M: ibtadaa-e-ishq mein hum saari raat jaage
allaah jaane kyaa hogaa re
ho maulaa jaane kyaa hogaa re

F: dil mein teri ulfat ke bandhne lage dhaage
allaah jaane kyaa hogaa re
ho maulaa jaane kyaa hogaa re

M: ibtadaa-e-ishq mein hum

(kyaa kahoon kuchh kahaa nahin jaaye
bin kahe bhi rahaa nahin jaaye) (2)
raat bhar karvat main badloon
dard dil kaa sahaa nahin jaaye
neend meri aankhon se door door bhaage
allaah jaane kyaa hogaa re
ho maulaa jaane kyaa hogaa re

F: dil mein teri ulfat ke bandhne lage dhaage
allaah jaane kyaa hogaa re
ho maulaa jaane kyaa hogaa re

M: ibtadaa-e-ishq mein hum

F: (dil mein jaagi preet ki jwaala
jab se maine hosh sambhaala) (2)
main hoon tere pyaar ki seemaa
tu meraa raahi matwaala
mere man ki beena mein tere saaz jaage
allaah jaane kyaa hogaa re
ho maulaa jaane kyaa hogaa re

M: ibtadaa-e-ishq mein hum saari raat jaage
allaah jaane kyaa hogaa re
ho maulaa jaane kyaa hogaa re
ibtadaa-e-ishq mein hum

(toone jab jab aankh milaayi
dil se ek awaaz yeh aayi) (2)
chal ke ab taaron mein rahenge
pyaar ke hum do saudaayi
mujhko teri surat bhi chandni raat lage
allaah jaane kyaa hogaa re
ho maulaa jaane kyaa hogaa re

Both: ibtadaa-e-ishq mein hum saari raat jaage
allaah jaane kyaa hogaa re
ho maulaa jaane kyaa hogaa re
ibtadaa-e-ishq mein hum


Film: Hariyali Aur Raasta (1962)
Singers: Lata Mangeshkar, Mukesh
Music Director: Shankar Jaikishen
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Picturized on: Manoj Kumar, Mala Sinha


2 comments:

Ava said...

Love this song. All songs of Hariyali aur Rasta..

Kanan said...

Avdi, wonderful to know! thanks :) I love hariyali aur raasta songs too.