Sunday, March 29, 2009

Aise to na dekho...

I like very few songs of Dev Anand and this is one of them. Rafi sahab's voice can be the most playful and entice you. He's done a fantastic job in this one, I adore this one. Burmandada's music touches your heart, and Majrooh Sultanpuri's lyrics are penned so beautifully, they describe the feelings of how someone's eyes can intoxicate you.


aise to na dekho ke hum ko nasha ho jaaye
aise to na dekho
khubsoorat si koyi hum se khataa ho jaaye (2)
aise to na dekho

tum hume roko phir bhi hum naa ruke
tum kaho kaafir phir bhi aise jhuke
qadam-e-naaz pe ek sajdaa adaa ho jaaye
aise to na dekho

yoon na ho aankhen rahe kaajal ghole
badh ke bekhudi hanseen gesu khole
khul ke phir zulfen siyaah kaali balaa ho jaaye
aise to na dekho

hum to masti mein jaane kyaa kyaa kahe
lab-e-naazuk se aisa na ho tumhe
beqaraari kaa gilaa hum se sivaa ho jaaye

aise to na dekho ke hum ko nasha ho jaaye
khubsoorat si koyi hum se kataa ho jaaye
aise to na dekho...


Film: Teen Deviyan (1965)
Singer: Mohd. Rafi
Music Director: S.D. Burman
Lyrics: Majrooh Sultanpuri
Picturized on: Dev Anand, Nanda

Sunday, March 22, 2009

Jab se tumhe dekha hai...

The best pair that ever sang duets... that's how I like to describe Rafi and Asha. Yet another romantic song to make it to their collection and what beautiful rhyming lyrics by Shakeel Badayuni. It just doesn't get any better. Ravi's music is simply charming and makes me want to listen to this one all day long.

There is a confusion that I have about the year this film was released. Some sites say 1961 and the others mention 1963. I've put 1961 as earthmusic.net had that one. If you do happen to know the correct one, please to share. Thank you. :)


M: jab se tumhe dekha hai aankhon mein tum hi tum ho (2)
F: hum bhi yehi kehte hai saanson mein tum hi tum ho
M: jab se tumhe dekha hai aankhon mein tum hi tum ho

M: (aa gaye pyaar ke din bekhudi chhaane lagi
F: mastiyaan jhoom uthi zindagi gaane lagi) (2)
zindagi gaane lagi
M: dil ke naye ki naghmon taano mein tum hi tum ho (2)
F: hum bhi yehi kehte hai saanson mein tum hi tum ho
M: jab se tumhe dekha hai aankhon mein tum hi tum ho

F: aa ha ha aa aa aa aa aa aa aa aa aa aa
M: aa ha ha aa aa aa aa aa aa aa aa aa aa

F: (jab se paaya hai tumhe bheega bheega hai samaa
M: jab se chaaha hai tumhe har nazaara hai jawaan) (2)
har nazaara hai jawaan
F: dil mein tumhi rehte ho yaadon mein tum hi tum ho (2)
M: hum bhi yehi kehte hai saanson mein tum hi tum ho
F: jab se tumhe dekha hai aankhon mein tum hi tum ho

aa aa aa aa aa a a a a a a a a a

M: (deep khushiyon ke sadaa dil mein jalte hi rahe
F: pyaar ki duniya mein hum saath chalte hi rahe) (2)
saath chalte hi rahe
M: kyon na mile manzil jab raahon mein tum hi tum ho
F: kyon na mile manzil jab raahon mein tum hi tum ho
Both: hum bhi yehi kehte hai saanson mein tum hi tum ho
jab se tumhe dekha hai aankhon mein tum hi tum ho (2)


Film: Gharana (1961)
Singers: Mohd. Rafi & Asha Bhosle
Music Director: Ravi
Lyrics: Shakeel Badayuni
Picturized on: Rajendra Kumar, Asha Parekh

Thursday, March 19, 2009

Tumhe Dekhati Hoon

(tumhe dekhati hoon to lagtaa hai aise
ke jaise yugon se tumhe jaanti hoon) (2)
agar tum ho saagar
agar tum ho saagar main pyaasi nadi hoon
agar tum ho saawan main jalti kali hoon
piya tum ho saagar

mujhe meri neenden
mujhe meri neenden mera chain de do
mujhe mere sapnon ki ek rain de do na
yehi baat pehle
yehi baat pehle bhi tum se kahi thi
wohi baat phir aaj dohra rahi hoon
piya tum ho saagar

tumhe chhu ke pal mein bani dhool chandan (2)
tumhaari mahek se mahekane lage tan
mahekane lage tan
mere paas aao
mere paas aao gale se lagaao
piya aur tumse main kya chaahati hoon
tumhe dekhati hoon to lagtaa hai aise
ke jaise yugon se tumhe jaanti hoon
agar tum ho saagar

ho ho ho muraliyaa samajh kar
muraliyaa samajh kar mujhe tum uthaa lo
bas ek baar hothon se apne lagaa lo na
ek baar hothon se apne lagaa lo na
koyi soor to jaage
koyi soor to jaage meri dhadakano mein
ke main apni sargam se roothi hui hoon

tumhe dekhati hoon to lagtaa hai aise
ke jaise yugon se tumhe jaanti hoon
agar tum ho saagar
agar tum ho saagar main pyaasi nadi hoon
agar tum ho saawan main jalti kali hoon
piya tum ho saagar...


Film: Tumhare Liye (1968)
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: Jaidev
Lyrics: Naqsh Lyalpuri
Picturized on: Vidya Sinha, Sanjeev Kumar

Video:


Full audio:

Tuesday, March 17, 2009

Mausam hai aashiqaana...

Yet again, it's one of those songs that has the last stanza of the song starting off entirely differently than the rest of the stanzas. One of my favorite songs of Pakeezah and the one I never get bored of listening to or watching. Goosebumpy music of Ghulam Mohammad and out of this world lyrics by none other than Kamal Amrohi sahab. I didn't know his whole name was Syed Anwar Hyder Kamal Amrohi. He's the same one who has also penned kahin ek maasoom naazuk si ladki.

The best part is I was able to find the extended clip of this song on youtube with the scene and dialogs before the song starts. I really do wish the clip had the music after the song completes... the one where Raj Kumar comes riding on horseback and is awestruck to see her asleep in his tent for the first time; she's awake yet pretends to be asleep and mumbles the dialog "ya allah.." (or something like that). What classy movies they used to make back then...


Him: yeh phir ek barasti hui raat hai... aur main safar mein hoon. mere siva compartment mein aur koi nahin... lekin... us saamne wale berth par meri ek suhaani yaad phir karvat badal rahi hai aur mehndi se racha hua wohi haseen paanv mujhe aaj bhi baar baar dans raha hai... yeh kya hai? is kaifiyat ka naam kya hai?

Her: mohabbat!

mausam hai aashiqaana
aye dil kahin se unko
aise mein dhoondh laana (2)

mausam hai aashiqaana
aye dil kahin se unko
aise mein dhoondh laana (2)

mausam hai aashiqaana

kehna ke rut jawaan hai aur hum taras rahe hai
kaali ghataa ke saaye birahan ko dans rahe hai
dar hai na maar daale
saawan ka kya thikaanaa (2)
mausam hai aashiqaana

sooraj kahin bhi jaaye
tum par na dhoop aaye (2)
aa aa aa
tum ko pukaarte hai in gesuon ke saaye
aa jaao main banaa doon
palkon ka shaamiyaanaa (2)
mausam hai aashiqaana

phirte hai hum akele baahon mein koyi le le
aakhir koyi kahaan tak tanhaaiyon se khele
din ho gaye hai zaalim
raaten hai qaatilaana (2)
mausam hai aashiqaana

aa aa aa...
yeh raat yeh khaamoshi
yeh khaab se nazaare (2)
jugnu hai yaa zameen par utare hue hai taare
bekhaab meri aankhen (2)
madhosh hai zamaana (2)

mausam hai aashiqaana
aye dil kahin se unko
aise mein dhoondh laana (2)

mausam hai aashiqaana...


Film: Pakeezah (1971)
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: Ghulam Mohammed
Lyrics: Syed Anwar Hyder Kamal Amrohi
Picturized on: Meena Kumari

Sunday, March 15, 2009

Ek Haseen Shaam Ko

Discovered this number a couple of years back when I was browsing around on mohdrafi.com. What a fantastic song! Simply adore the lyrics and the tunes of the song along with my favorite singer, of course. Dharampaaji and Nutan make a fabulous on-screen pair!


ek haseen shaam ko dil mera kho gayaa
pehle apna hua karta tha ab kisi ka ho gayaa

muddaton se aarzoo thi zindagi mein koyi aaye
sooni sooni zindagi mein koyi shamma jhilmilaaye
woh jo aaye to roshan zamaana ho gayaa
ek haseen shaam ko dil mera kho gayaa
pehle apna hua karta tha ab kisi ka ho gayaa

mere dil ke caaravaan ko le chalaa hai aaj koyi
shabnami si jiski aankhen thodi jaagi thodi soyi
unko dekhaa to mausam suhaanaa ho gayaa
ek haseen shaam ko dil mera kho gayaa
pehle apna hua karta tha ab kisi ka ho gayaa


Film: Dulhan Ek Raat Ki (1966)
Singer: Mohd. Rafi
Music Director: Madan Mohan
Lyrics: Raja Mehdi Ali Khan
Picturised on: Dharmendra & Nutan


Friday, March 13, 2009

Deewaane Hai Deewaanon Ko

It's amazing to be able to analyze the lyrics and music of favorite songs, and if you can do that on a daily basis, it's even more fun... that's how we remembered this one today. The lyrics are so beautiful and fun to hum along with the song and sweet voices of Lataji and Rafi sahab just add to the charm.

When I first watched this film almost a decade ago, it was amazing to discover that the actor is none other than the lyricist himself. Now we don't get to see that often in HFM, do we?


M: aap ke dil mein jo thodi si jagaah mil jaaye
apne armaanon ki betaab kali khil jaaye

M: deewaane hai deewaano ko na ghar chaahiye na dar chaahiye
mohabbat bhari ek nazar chaahiye nazar chaahiye
F: jawaani mein jawaani ke sahaare ho jawaan mere meherbaan
mujhe tu hi tu humsafar chaahiye humsafar chaahiye
Both: deewaane hai deewaano ko na ghar chaahiye
mohabbat bhari ek nazar chaahiye nazar chaahiye

M: hai sar pe humaare khulaa aasmaan khulaa aasmaan (2)
F: hamaare liye hai yehi aashiyaan yehi aashiyaan
M: bina pyaar ke zindagi kuchh nahin (2)
jahaan pyaar hai har khushi hai wahin
F: ho phoolon bhari chaahe chaahe kaanton bhari haan kaanton bhari
chale jis pe tu woh dagar chaahiye dagar chaahiye

Both: deewaane hai deewaano ko na ghar chaahiye na dar chaahiye
mohabbat bhari ek nazar chaahiye nazar chaahiye

M: nigaahon mein aise ishaare hue ishaare hue (2)
F: ke dil ne kahaa hum tumhaare hue tumhaare hue
M: nazar ban gayi hai zubaan pyaar mein (2)
mazaa aa gayaa jeet kaa haar mein
F: milega wohi maangoge jo dildaar se magar pyaar se
duwaaon mein apni asar chaahiye asar chaahiye

Both: deewaane hai deewaano ko na ghar chaahiye na dar chaahiye
mohabbat bhari ek nazar chaahiye nazar chaahiye
jawaani mein jawaani ke sahaare ho jawaan mere meherbaan
mujhe tu hi tu humsafar chaahiye humsafar chaahiye


Film: Zanjeer (1973)
Singers: Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Music Director: Kalyanji Anandji
Lyrics: Gulshan Bawra
Picturized on: Gulshan Bawra, ?, Amitabh Bachchan, Jaya Bhaduri

Thursday, March 12, 2009

Tere Bina Jiya Jaaye Na

I completely adore all the songs of this movie. All of them are fantastic and I think that's because it's RDB's work. Of course, with due credits to the singers but it's not often that the entire soundtrack turns out this good. This is one of those rare films where each and every song is simply fantastic! The film is alerady on the to-be-watched list... hopefully... some day. :)

Vinod Mehra is entirely handsome and Rekha so good looking... it's even fun to watch them. The beautifully penned lyrics by Gulzar ji once again convey messages of hearts that are felt more often, rarely described so precisely.


F: tere bina jiya jaaye na (4)
bin tere tere bin saajna
saans mein saans aaye na
ho ho ho ho

tere bina jiya jaaye na (2)
bin tere tere bin saajna
saans mein saans aaye na
ho ho ho ho

tere bina jiya jaaye na

(jab bhi khayaalon mein tu aaye
mere badan se khushbu aaye) (2)
mehke badan mein rahaa na jaaye
rahaa jaaye na
tere bina jiya jaaye na (2)
bin tere tere bin saajna
saans mein saans aaye na
tere bina jiya jaaye na (2)

(reshmi raaten roz na hongi
yeh saugaaten roz na hongi) (2)
zindigi tujh bin raas na aaye
raas aaye na

M: tere bina jiya jaaye na (2)
bin tere tere bin saajna
saans mein saans aaye na
ho ho ho ho
tere bina jiya jaaye na



Film: Ghar (1978)
Singers: Lata Mangeshkar, Kishore Kumar
Music Director: R.D. Burman
Lyrics: Gulzar
Picturized on: Rekha Ganeshan, Vinod Mehra

Tuesday, March 10, 2009

Mere Rang Mein...

(mere rang mein rangne waali
pari ho ya ho pariyon ki raani
ya ho meri prem kahaani
mere sawaalon ka jawaab do
do na) (2)

(chorus)

(bolo na kyon yeh chaand sitaare
takte hai yooh mukhade ko tumhaare) (2)
chhuke badan ko hawaa kyon mehki
raat bhi hai kyon behki behki
mere sawaalon ka jawaab do
do na

kyon ho tum sharmaayi hui si
lagti ho kuchh ghabaraayi hui si

ho kyon ho tum sharmaayi hui si
lagti ho kuchh ghabaraayi hui si

dhalka hua sa aanchal kyon hai
yeh mere dil mein hulchul kyon hai
mere sawaalon ka jawaab do
do na

dono taraf benaam si uljhan
jaise mile ho dulha-dulhan

aa ha ha ha ha

dono taraf benaam si uljhan
jaise mile ho dulha-dulhan

dono ki aisi haalat kyon hai
aakhir itni mohabbat kyon hai
mere sawaalon ka jawaab do
do na

mere rang mein rangne waali
pari ho ya ho pariyon ki raani
ya ho meri prem kahaani
mere sawaalon ka jawaab do


Film: Maine Pyaar Kiya (1989)
Singer: S. P. Balasubramaniam
Music Director: Raam Laxman
Lyrics: Asad Bhopali
Picturized on: Salman Khan, Bhagyashree


Monday, March 9, 2009

Aaja Maahiya...

Anu Malik does it again!! I love this man's music. It's just to crazy and so much fun. One of my favorite songs of Hrithik Roshan. No director can ever go wrong with this singer pair. It just works with these two in it... Udit and Alka. I think probably the most hit pair of current times. And it's a fun number to watch as well.


M: sohe maahi re
maahi maahi re
maahi maahi re maahi maahi re (2)

Ch: aaja maahi mere (3) aa
aaja maahi mere (3) aa

M: aa dhoop maloon main tere haathon mein
aa sajda karoon main tere haathon mein
ho subah ki mahendi chhalak rahi hai
aaja
aaja maahiya (2) aaja
aaja maahiya ho aaja maahiya

Ch: aaja maahi mere (3) aa
F: aaja maahi mere (3) aa

aahista pukaaro sab sun lenge
bas labon se chhoo lo lab sun lenge
ho aankh bhi kal se phadak rahi hai
aaja
aaja maahiya (2) aaja
aaja maahiya ho aaja maahiya

M: (ek noor se aankhen chaunk gayi
dekha jo tujhe aaine mein) (2)
Ch: aaja maahiya (2)
F: koyi noor kiran hogi woh bhi
jo chubhne lagi hai seene mein
Ch: aaja maahiya (2)

M: aa dhoop maloon main tere haathon mein
aa sajda karoon main tere haathon mein
ho subah ki mahendi chhalak rahi hai aaja

aaja maahiya ho aaja maahiya
F: aaja
aaja maahiya ho aaja maahiya
M: maahi maahi re (3)

F: (laal ho jab yeh shaam kinaara
odha dena sar pe saara) (2)
Ch: aaja maahiya (2)
M: chal rok le suraj chhup jaayega
paani mein gir ke bujh jaayega
Ch: aaja maahiya (2)
F: aahista pukaaro sab sun lenge
bas labon se chhoo lo lab sun lenge
haan aankh bhi kal se phadak rahi hai
aaja
aaja maahiya ho aaja maahiya
M: aaja maahiya ho aaja maahiya

maahi re (7)
maahi maahi mere (2)
maahi mere (3)
maahi maahi mere (2)
maahi mere (3)


Film: Fiza (2000)
Singer: Udit Narayan, Alka Yagnik
Music Director: Anu Malik
Lyrics: Gulzar
Picturized on: Hrithik Roshan, Neha


Sunday, March 8, 2009

Ek Din Aap Yoon...

I stumbled upon this song again today after years. I am getting to listen to the best of 90s songs these days. It's amazing to rediscover these forgotten gems with upbeat music. Songs like these just add so much life to a day.

Javed Akhtar is the king of romance, in my view. What great lyrics has he penned... It's amazing!


F: (ek din aap yoon hum ko mil jaayenge
phool hi phool raahon mein khil jaayenge
maine socha na tha) (2)

M: (ek din zindagi itni hogi haseen
jhoomega aasmaan gaayegi yeh zameen) (2)
maine socha na tha

F: (dil ki daali pe kaliyaan si khilne lagi
jab nigaahen nigaahon se milne lagi) (2)
M: ek din is taraah hosh kho jaayenge
paas aaye to madhosh ho jaayenge
maine socha na tha

F: ek din aap yoon hum ko mil jaayenge
phool hi phool raahon mein khil jaayenge
maine socha na tha

(Some awesome orchestra literally sweeps you off the feet here and for some real strange reason I am reminded of the music of "chaahe banaa do chaahe mita do... ehsaan tera hoga mujhpar" and "koi manchala gar pakad lega aanchal... huzoor is kadar bhi na")

M: (jagamagaati hui jaagti raat hai
raat hai ya sitaaron ki barsaat hai) (2)
F: ek din dil ki raahon mein apne liye
jal uthenge mohabbat ke itne diye
maine socha na tha

M: ek din zindagi itni hogi haseen
jhoomega aasmaan gaayegi yeh zameen
maine socha na tha

F: ek din aap yoon hum ko mil jaayenge
phool hi phool raahon mein khil jaayenge
maine socha na tha

M: maine socha na tha
F: maine socha na tha


Film: Yes Boss (1997)
Singers: Kumar Sanu & Alka Yagnik
Music Director: Jatin-Lalit
Lyrics: Javed Akhtar
Picturized on: Shahrukh Khan, Juhi Chawla

Friday, March 6, 2009

Is Kadar Pyaar Hai

It's been ages since I listened to these albums of Sonu Nigam. Digging into old music boxes found this and a couple of other albums. It took me back to the time when I attended Sonu Nigam's live concert and almost went up on stage with him to shake his hands. What a fun personality and an awesome singer! Wish I'll get to attend his concert again some day. This album was just awesome as it had all the deewangi related songs. This being one of my favorites from the collection. Enjoy!


is kadar pyaar hai tum se hai humsafar (2)
ab to jeete hai hum bas tumhe dekhkar
tumhaari har adaa tumhaari har nazar
yeh kya kehne lagi tumhe hai kya khabar

is kadar pyaar hai tum se hai humsafar
ab to jeete hai hum bas tumhe dekhkar

dil mein hai betaabiyaan neend udne lagi
tere khayaalon se hi aankh judne lagi
har pal tum ko dekha maine
kehti hai meri nazar
tumhaari har ada tumhaari har nazar
yeh kya kehne lagi tumhe hai kya khabar
is kadar pyaar hai tum se hai humsafar
ab to jeete hai hum bas tumhe dekhkar

saanson mein basne lagi jab se tu oh jaan-e-jaan
apna sa lagne lagaa mujhko saara jahaan
mehka mehka lagta mujhko
khushiyon se dil ka nagar
tumhaari har ada tumhaari har nazar
yeh kya kehne lagi tumhe hai kya khabar
is kadar pyaar hai tum se hai humsafar
ab to jeete hai hum bas tumhe dekhkar
tumhaari har ada tumhaari har nazar
yeh kya kehne lagi tumhe hai kya khabar

Album: Deewana
Singer: Sonu Nigam
Picturized on: Milind Soman, ?

Thursday, March 5, 2009

Tum Pukaar Lo Tumhaara Intezaar Hai

One of my favorite haunting melodies of Hemant Kumar. What awesome lyrics and the depth the music and his voice give to song are out of this world! I'm not a huge fan of Hemantda but if I have to pick and choose favorites, this would surely be one of them.


hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm
hmm hmm hmm
hmm hmm hmm
hmm hmm hmm

tum pukaar lo
tumhaara intezaar hai tum pukaar lo
khwaab chun rahi hai raat beqaraar hai
tumhaara intezaar hai tum pukaar lo

(honth pe liye hue dil ki baat hum
jaagte rahenge aur kitni raat hum) (2)
muqtasar si baat hai tum se pyaar hai
tumhaara intezaar hai tum pukaar lo

(dil bahel to jaayega is khayaal se
haal mil gaya tumhaara apne haal se) (2)
raat yeh qaraar ki beqaraar hai
tumhaara intezaar hai

Film: Khamoshi (1969)
Singer: Hemant Kumar
Music Director: Hemant Kumar
Lyrics: Gulzar
Picturized on: Dharmendra, Waheeda Rehman