Wednesday, October 15, 2008

Mehfil Mein Jal Uthi Shamaa

One of my favorite songs of Chitalkar & Lataji. I was quite pleasantly surprised to see it's actually picturized on Madhubala. :)


mehfil mein jal uthi shamaa
(mehfil mein jal uthi shamaa parvaane ke liye
preet bani hai duniya mein mar jaane ke liye) (2)

chaaron taraf lagaaye phere phir bhi har dum door rahe
ulfat dekho aag bani hai milne se majhboor rahe
yehi sazaa hai duniya mein
yehi sazaa hai duniya mein deewaane ke liye
preet bani hai duniya mein mar jaane ke liye
mehfil mein jal uthi shamaa parvaane ke liye
preet bani hai duniya mein mar jaane ke liye

marne ka hai naam mohabbat jalne ka hai naam jawaani
patthar dil hai sun ne waale kehne waala aankh ka paani
aansoo aaye aankhon mein
aansoo aaye aankhon mein gir jaane ke liye
preet bani hai duniya mein mar jaane ke liye
mehfil mein jal uthi shamaa parvaane ke liye
preet bani hai duniya mein mar jaane ke liye


Film: Nirala (1950)
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: Chitalkar Ramchandra
Lyrics: Pyarelal Santoshi
Picturized on: Dev Anand & Madhubala

No comments: