Friday, September 19, 2008

Yeh Neer Kahaan Se Barse Hai

A song I listened to for the first time just recently... and today those dark gray cloudy skies make me want to hum this one. What a beautiful solo by Lata ji! It's heavenly. Jaidev's music is AWESOME!!! I can't believe this is first song on this blog of Jaidev sahab, but better late then never. And of course, the beautiful lyrics are by Jaan Nisar Akhtar.

I would love to see the picturization of this one but haven't been able to find audio/video of it.


hmm hmm hmm hmm
hmm hmm hmm hmm

(yeh neer kahaan se barse hai
yeh badri kahaan se aayi hai) (2)
yeh badri kahaan se aayi hai

gehre gehre naale gehra gehra paani re
gehre gehre naale gehra paani re
gehre man ki chaah anjaani re
jag ki bhul-bhulaiya mein (2)
yeh koonj koi bahaar aayi hai
yeh badri kahaan se aayi hai

peedon ke sang aahen bhar li (2)
aag chanaar ki maang? mein dhar li
bujh na paayi re (2)
bujh na paayi re raat beeti jo
aisi agan lagaayi hai
yeh badri kahaan se aayi hai

pachhi pagle kahaan ghar tera re (2)
bhul na jaiyo apna basera re
koyal bhul gayi jo ghar (2)
woh laut ke phir kab aayi hai (2)

yeh neer kahaan se barse hai
yeh badri kahaan se aayi hai

hmm hmm hmm hmm

Film: Prem Parbat (1973)
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: Jaidev
Lyrics: Jaan Nisar Akhtar
Actors: Satish Kaul, Rehana Sultan, Nana Palsikar



1 comment:

Unknown said...

the song is written by Padma Sachdev and not Jan Nisar Akhtar