Friday, September 5, 2008

Khaamosh Raat Sehmi Hawaa

While listening to tum ho to of Rock On!! I was reminded of this one a lot. Can't believe it's been a few years since I listened to this one. One of my favorites to listen to, to lift up my spirits! It's so close to heart.


khaamosh raat sehmi hawaa
tanha tanha dil apna (2)
aur door kahin roshan hua ek chehra ek chehra ek chehra
yeh sach hai ya sapna (3)

khaamosh raat sehmi hawaa
tanha tanha dil apna (2)
aur door kahin roshan hua ek chehra ek chehra ek chehra
yeh sach hai ya sapna (2)

jhuki jhuki palken jab uthi
nainon mein diye maddham maddham
adh khule hothon se hansee
jhaank rahi maddham maddham
kaise kahaan phir ho gayee
us ki charee maddham maddham
pal pal uthati hasraten
hone lagi maddham maddham
aur door kahin roshan hua ek chehra ek chehra ek chehra

sooraj tha pe noor sa
us ki tanak maddham maddham
chaand bhi sa bujha bujha
taare bhi the maddham maddham
jugnu dilasa dene lage
nanhi si jaan maddham maddham
shamaa bhi thak haar ke
hone lagi maddham maddham
aur door kahin roshan hua ek chehra ek chehra ek chehra

(chorus)

jeene ka tha hum mein dam
par nahin tha koi humdum
khushiyon ki thi justaju
mil rahe the bas gham hi gham
shuru mein is duniya ke bhi
khaamoshi thi aur ek the hum
raahen sabhi thi sooni sooni
uth rahe the kadam tham tham
aur door kahin roshan hua ek chehra ek chehra ek chehra
yeh sach hai ya sapna (2)

khaamosh raat sehmi hawaa
tanha tanha dil apna (2)
aur door kahin roshan hua ek chehra ek chehra ek chehra
yeh sach hai ya sapna (2)


Film: Thakshak (1999)
Singer: Roop Kumar Rathod
Music Director: A. R. Rahman
Lyrics: Mehboob
Picturized on: Ajay Devgan, Tabu, Rahul Bose, ?

No comments: