Sunday, September 14, 2008

Husn Waale Teraa Jawaab Nahin

We had some family friends visiting this past weekend who also enjoy the HFM oldies. And so while watching one of the rare recordings of Abhi to Main Jawaan Hoon of Rafi sahab and Naushad we got to watch/listen to this one.

One of my favorite when it comes to taareef karofying songs. Oh how I wish I get to see this film some day soon... none of the local video rental places carry it. May be when I find time to start renting online. Any how, you got to listen to it to truly appreciate all the goodness in it.

Many thanks to Rajshri for putting up almost all the songs from their movies on youtube. You guys rock!


husn waale teraa jawaab nahin
koyi tujh sa nahin hazaaron mein
husn waale teraa jawaab nahin

tu hai aisi kali jo gulshan mein
saath apne bahaar laayi ho
tu hai aisi kiran jo raat dhale
chaandni mein nahaake aayi ho
yeh teraa noor yeh tere jalwe
jis tarah chaand ho sitaaron mein
husn waale teraa jawaab nahin

teri aankhon mein aisi masti hai
jaise chalke hue ho paimaane
tere honthon pe woh khaamoshi hai
jaise bikhare hue ho afsaane
teri zulfon ki aise rangat hai
jaise kaali ghataa bahaaron mein
husn waale teraa jawaab nahin

teri surat jo dekh le shayar
apne sheron mein taazagi bhar le
ek musafir jo tujh ko paa jaaye
apne khwaabon mein zindagi bhar le
nagmaa-gar dhoondhle agar tujh ko
dard bharle woh dil ke taaron mein

husn waale teraa jawaab nahin
koyi tujh sa nahin hazaaron mein
husn waale teraa jawaab nahin


Film: Gharana (1961)
Singer: Mohammad Rafi
Music Director: Ravi
Lyrics: Shakeel Badayuni
Picturized on: Rajendra Kumar, Asha Parekh

No comments: