Thursday, September 6, 2007

Tumhara Chahnewala Khuda Ki Duniya Mein

Lyricists write all kinds of lyrics. You name it and they write it. Speaking of unrealistic lyrics, this one would take the cake. Every time I listen to this song, I just sit and wonder "what was SHB thinking?" while writing these lyrics. All I can do is smile listening to this song. The thought in his words is very highly respectable but hardly realistic. :) One of the very few songs of Mahendra Kapoor that I like. Very beautifully sitar plays throughout the song. I am sure this song is based on some raaga, if not entirely then partially. OPN truely rocks!!


Male: (tumhaaraa chaahanewaalaa khudaa ki duniyaan mein
mere sivaa bhi koyi aaur ho khudaa naa kare) (2)
tumhaaraa chaahanewaalaa khudaa ki duniyaan mein

yeh baat kaise ganwaaraa karegaa dil meraa
tumhaaraa zikr kisi aur ki zabaan pe ho
tumhaare husn ki taareef aainaa bhi kare
to main tumhaari kasam hai ke tod doon ussko
tumhaare pyaar tumhaari adaa kaa deewaanaa
mere sivaa bhi koyi aur ho khudaa naa kare
tumhaaraa chaahanewaalaa khudaa ki duniyaan mein

(the sitar playing here is to die for!)

woh din naa aaye ke mujh se kabhi judaa hokar
kisi kaa pyaar dobaaraa kahin talaash karo
jhukaa ke sir ko kisi ajnabi ke shaanon par
tum apne gham kaa sahaaraa kahin talaash karo
kareeb dil ke tumhaare kisi bhi haalat mein
mere sivaa bhi koyi aur ho khudaa naa kare
tumhaaraa chaahanewaalaa khudaa ki duniyaan mein

Female: tumhaare dil ko kabhi mujh se koyi thes lage
mujhe yakin hai aisa kabhi nahin hogaa
mujhe wafaaon pe apni badaa bharosa hai
tumhaaraa pyaar hi de jaaye naa kahin dhokhaa
dua yeh hai ke tumhaaraa khudaa ki duniyaan mein
mere sivaa bhi koyi aur ho khudaa n kare

Male: tumhaaraa chaahanewaalaa khudaa ki duniyaan mein
Female: mere sivaa bhi koyi aur ho khudaa naa kare


Movie: Kahin Din Kahin Raat (1968)
Music Director: O. P. Nayyar
Singer: Mahendra Kapoor & Asha Bhosle
Lyrics: S. H. Bihari aka Shamsul Huda Behari
Picturized on: Bishwajeet & Sapna
MIO Link: http://www.musicindiaonline.com/p/x/T5K7Rm1sR9.As1NMvHdW/
Video: http://www.youtube.com/watch?v=JHG3tQA_YgA

No comments: