Tuesday, February 2, 2010

Raaz-e-dil unse chhupaaya na gayaa..

I always thought this one was the same as haal-e-dil yoon unhe sunaaya gayaa, but how wrong I was. One completely sad and the other completely playful... you got to listen to them to realize the difference. Of course, I love both the songs dearly so can't say one is better than the other or for that matter, even compare it. I wouldn't be doing justice to both then.

In any case, I'm so happy for youtube has come into existence! Long live youtube devta!!!


raaz-e-dil unse chhupaaya na gayaa (2)
pyaar ki aag kuchh aisi bhadki (2)
ek shola bhi dabaaya na gaya (2)
raaz-e-dil unse chhupaaya na gayaa

pehle pehle to mujhe
woh samajh bhi na sake
dil ko tadpaate rahe
mujhko tarsaate rahe
aankh se aankh kayi baar mili (2)
dil se dil phir bhi milaaya na gayaa
pyaar ki aag kuchh aisi bhadki (2)
ek shola bhi dabaaya na gaya
raaz-e-dil unse chhupaaya na gayaa

aankh milte hi jhuki
baat hothon pe ruki
berukhi pyaar bani
jeet bhi haar bani
kar gayi kaam mohabbat ki nazar (2)
unse daaman bhi bachaaya na gayaa
pyaar ki aag kuchh aisi bhadki (2)
ek shola bhi dabaaya na gaya
raaz-e-dil unse chhupaaya na gayaa


Film: Apna Banaake Dekho (1962)
Singer: Mohammad Rafi
Music Director: Ravi
Lyrics: Asad Bhopali


No comments: