Wednesday, October 30, 2013

Yeh hum aa gaye hai kahaan...

Flute in the beginning when the plane flies makes every single hair on my body stand up with excitement and happiness that can not be described! I haven't been able to pick and choose my most favorite song from Veer Zaara and that's because most of them are my favorite ones. This one being one of them. It's so utterly beautiful in music, lyrics, and everything else including picturization.


M: lehraati hui raahen khole hue hai baahen
yeh hum aa gaye hai kahaan
F: palkon pe gehre halke hai reshmi dhundhalke
yeh hum aa gaye hai kahaan
M: haan yeh hum aa gaye hai kahaan

M: woh dekho zara parbaton pe ghataayen
hamaari daastaan haule se sunaaye
F: suno to zara yeh phoolon ki waadi
hamaari hi koyi kahaani hai sunaati
M: sapnon ke is nagar mein
yaadon ki rehguzar mein
yeh hum aa gaye hai kahaan
F: haan yeh hum aa gaye hai kahaan

F: jo raahon mein hai rut ne sona bikhera
sunehra hua tera mera savera
M: zameen so gayi barf ki chaadaron mein
bas aag si jalti hai do dilon mein
F: hawaayen sarsaraaye badan kaamp jaaye
yeh hum aa gaye hai kahaan
M: haan yeh hum aa gaye hai kahaan

M: yeh barsaat bhi kab thame kaun jaane
F: tumhe mil gaye pyaar ke sau bahaane
M: sitaaron ki hai jaise baraat aayi
F: hamaare liye raat yoon jagmagaayi
M: sapne bhi jhilmilaaye
F: dil mein diye jalaaye
M: yeh hum aa gaye hai kahaan
F: haan yeh hum aa gaye hai kahaan
Both: haan yeh hum aa gaye hai kahaan

Film: Veer Zaara (2004)
Singers: Lata Mangeshkar, Udit Narayan
Music Director: Madan Mohan, Sanjeev Kohli
Lyrics: Javed Akhtar
Picturized on: Preity Zinta, Shahrukh Khan

Video:


Full audio:


No comments: