Tuesday, October 29, 2013

Jaan-e-bahaar husn tera bemisaal hai..

Listening to another duet I came across this one. I don't think I've ever listened to this one before. It completely blew me away... Love the raag malkauns and Rafi sahab's singing. Shammi Kapoor looks so very handsome as ever and actress so much like a mix of Asha Parekh and Vyjayantimala. It's the very beautiful B. Saroja Devi. Too bad she can't act nearly as well as Asha Parekh or Vyjayantimala.

This song takes me back to so many other songs based on the same raag, like chhu lene do nazuk hothon ko, man tarpat hari darsan ko aaj, and songs/music of Navrang.. so beautiful!


jaan-e-bahaar husn tera bemisaal hai (2)
wallaah kamaal hai arre wallaah kamaal hai
jaan-e-bahaar husn tera bemisaal hai

aayi hai mere paas tu is aan-baan se (2)
utari ho jaise koyi pari aasmaan se
main kya kahoon khushi se ajab mera haal hai
jaan-e-bahaar husn tera bemisaal hai
wallaah kamaal hai arre wallaah kamaal hai
jaan-e-bahaar husn tera bemisaal hai

haaye yeh teri mast adaayeh yeh baankpan (2)
kiranon ko bhi main chhoone na doonga tera badan
tujhse nazar milaaye yeh kiski majaal hai
jaan-e-bahaar husn tera bemisaal hai
wallaah kamaal hai arre wallaah kamaal hai
jaan-e-bahaar husn tera bemisaal hai

main khush-naseeb hoon ke tujhe maine paa liya (2)
toone karam kiya apna bana liya
aise mile hai hum ke bichhadna muhaal hai
jaan-e-bahaar husn tera bemisaal hai
wallaah kamaal hai arre wallaah kamaal hai
jaan-e-bahaar husn tera bemisaal hai


Film: Pyaar Kiya To Darna Kya (1963)
Singer: Mohammed Rafi
Lyricist : Shakeel Badayuni
Music Director : Ravi
Picturized on: Shammi Kapoor, B. Saroja Devi

No comments: