Wednesday, April 13, 2011

Naino mein badra chhaaye...

Lata Mangeshkar is God! So is Madan Mohan! And Raja Mehdi Ali Khan too. Crazy folks, this lot! They blow my mind away. What music.. what voice and lyrics just out of this world... I can't say it in words. You've just got to listen to it.


(naino mein badra chhaaye
bijali si chamke haaye
aise mein balam mohe garva lagaa le) (2)
naino mein badra chhaaye

madira mein doobi ankhiyaan
chanchal hai dono sakhiyaan
madira mein doobi *major goosebumpy music*
madira mein doobi ankhiyaan
chanchal hai dono sakhiyaan
chhalti rahengi tohe
palkon ki pyaari batiyaan
sharma ke denge tohe
madira ke pyaale
naino mein badra chhaaye
bijali si chamke haaye
aise mein balam mohe garva lagaa le
naino mein badra chhaaye

aa aa.. aa aa aa... aa aa aa...

prem deewaani hoon main
sapnon ki raani hoon main
prem deewaani
prem deewaani hoon main
sapnon ki raani hoon main
pichhale janam se teri
prem kahani hoon main
aur is janam bhi tu apna banaa le
naino mein badra chhaaye
bijali si chamke haaye
aise mein balam mohe garva lagaa le
naino mein badra chhaaye

aa aa.. aa aa aa...
aa aa.. aa aa aa... aa aa..


Film: Mera Saaya (1966)
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: Madan Mohan
Lyrics: Raja Mehdi Ali Khan
Picturized on: Sunil Dutt, Sadhana Shivdasani

No comments: